Ye Raat

Discussion in 'Poetry and Lyrics Forum' started by Babydoll, Mar 12, 2006.

  1. Babydoll

    Babydoll New Member

    Es raat main na na jaane kyu ek ajeeb sa khuaf basa hai aise
    Jaise ke mere asaasa luta ho abhi abhi

    Yu virani si chayi hai charo aur mere aise
    Jaise ke koi apna mujhese bichda ho abhi abhi

    Ek naumeedi ki laher guzri hai dil main aise
    Jaise ke mere wo aziz khawab tuta ho abhi abhi

    Ajeeb kashmaksh mein mubtela hu main aise
    Jaise ke zehen o dil main jung chidi ho abhi abhi

    Neend ne bhi ankho se pehra hataya hai aise
    Jaise ke naino main sailaab aaya ho abhi abhi

    Dur dur tak adnhera phaila hai raho main aise
    Jaise kisi ka janaza utha ho abhi abhi

    Ye kaisi sansani hai uthi tere khayalo main,
    Jaise ke ye duniya tere liye bemaani si hui ho abhi abhi
     
  2. madhuresh

    madhuresh madhuresh

    thik hai........abhi abhi sahi hai :)
     
  3. Babydoll

    Babydoll New Member

    Oh yaani achi nahi hai :eek::
     
  4. madhuresh

    madhuresh madhuresh

    ye hi acchi baat nahi hoti tum bandiyoon main....main bola thik hai.acchi nahi hai kis ne kaha...tumse aur bhi acche ki umeed thi..issliye do lafz keh ke chup raha ok so its cool :)
     

Share This Page