vartmaan

Discussion in 'Poetry and Lyrics Forum' started by itsme_amit, Dec 12, 2004.

  1. itsme_amit

    itsme_amit New Member

    yeh hai ghar adhura akela jahan mera vartman rehta hai..
    tuti khirki,yadoo se jhootha bartan yahan bhavishya anjaan rehta hai..

    kabhi khushi ki ujli dhoop se yahan ka aangan mehkta tha..
    iski uuchi chat par abhilashao ka chand chamakta tha..
    gehre rango ke phool is bagiya mein khilte the..
    sukh dukh ke nanhe lamhe is gulshan tale palte the..
    tut gaya wo gamla sapno ka jisme gulaab pyar ka khilta tha..
    takhti tuti latak latak kar jahan naam hamara milta tha..

    yeh hai ghar adhura akela jahan mera hraday tanhai sehta hai..
    tuti khirki,yadoo se jhoothe bartan yahan bhavishya anjaan rehta hai..

    is ghar ke bahar din badalata,leta karvat mahina bhi..
    mausam badalta..rut badalti,badalta prakrita ka har laghu hissa..
    nahi badalata khayal yahan ka...wahi khara abhi tak sawal algaav ka..
    is ghar ki chato ke neeche abhi tak hare hai pyaar ke patte..
    nahi badle..na badalenge yahan beete takraar ijhaar ke kissse..

    yeh hai ghar adhura akela jahan mera kuch purana nahi badalta hai..
    tuti khirki,yadoo se jhoothe bartan yahan bhavishya anjaan rehta hai..

    is ghar ki purani deewaro ko ab naye soch ke badale rango se rangwana
    hai...
    nai pehchaan nai duniya ke naye logo se iska parichey karana hai..
    smrityon ko main band kar dunga ek gehre sanduuk mein..
    purani baato ko kha jaonga jeevan jeene ki bhuukh mein..
    kabhi bhigega phir yeh ghar sacche baato ki barish mein..
    khol di khirki khola darwaza nav jeevan ki khwaish mein

    yeh hai ghar adhura akela jahan mera vartman rehta hai..
    khuli khirki,khula darvaja yahan bhavishya dundhata apni pehchaan rehta
    hai..
     
  2. madhura

    madhura pani poori yum yum ....

    hey amit its wonderful .....
    yaadonse jhootha bartan ... sweet ....
     
  3. d_ist_urb_ed

    d_ist_urb_ed Genuflect b*tches!

    Really nice hindi poetry dude, i dont know much hindi, but even i could understand and appreciate that. Good piece of work.:)
     
  4. guls

    guls New Member

    nice "kavita"........:))
     
  5. itsme_amit

    itsme_amit New Member

    thank you

    thank you all for your appriciation...
     
  6. zoomingrocket

    zoomingrocket TeChNiCaL AdMiNiStRaToR

    Excellent lines....

    That was really a cool 'kavita'!!

    Keep it up!

    REgards,
    Zooom...!!
     

Share This Page