Here is another poem i wrote a while back. It was inpired by an acute heart ache given to me by a special someone.... Tumhara khat Tumhara khat dekh kar aaj, Aas ke bujhe huwe diye jal gaye Aisa laga yeh fasle mit gaye Mehak tumharee in pannon par Baarish ke boondh ban gaye Tumhara khat dekh kar aaj Aasmaan gungunane laga Chahat meri, in fizaon mein mast hone lagi Aankhon ko sahara sa mil gaya Gham ke andhere roshan hone lage Tumhara khat dekh kar aaj Dil humara tham sa gaya Saansein humaree ruk gayeen Zindagee is morh par dhal gayee Tumhara khat kisi aur ke liye thaa by "khayal"