Jitni mohabbat mujhe hai tumse gar utna tumhe koi chahe toh main kahu Jo bebasi mujh main tere dur jaane se hai gar wahi tadap tujh main nazar aaye toh main kahu Badi mushqil se maine tumhe kiya hai apni lakeero main shamil gar esi tarha tu mujhe rab se maang laye toh main kahu Kabhi sakhti kabhi narmi kabhi dillagi to kabhi zillat bhi sahi hai teri gar tu bhi mujhe har rang main apnaye toh main kahu Ruswayi e duniya to kabhi tanakashi apno ki hai suni gar tu bhi ye sab meri khatir seh paye toh main kahu Jis tarha tere intezar main rehti hu main bezaar gar us tarha tum bhi kabhi jaag toh main kahu Ye fansana tune to likh diya hai lekin gar es ki gehrai ko koi samaj paye toh main kahu
Kuch samazh mein nahi aaya.. Shero shayari mein thoda weak hoon.. jaane deejiye par ab mat kehna hehehehehe.
@baby....yaar u cant say "kisi ne to kaha accha likha hai" chek all ur posts ...banda humesha hajiri deta raha hai ... main to samajhta tha tu ladki hai...ye "sachooo" ka kyaa matlab hai ?
agar main ladki hoon toh tu dhakkan hain (too optimistic). sachoo >> nick of sachin. ab samzhe mannu baba.. :beer:
your last two lines sum up my comments "Ye fansana tune to likh diya hai lekin gar es ki gehrai ko koi samaj paye toh main kahu" lovely lines girl