Tinka

monica_decosta

Active Member
ek tinka
rookha rookha sa
hawa ke sang
udata girta sa
sooch raha tha
aur kini doori par ja kar
thaah milegi?

kabhi idhar
to kabhi udhar
aphi marzi se
titar bitar
abhi talak
sab mazeedar tha
iss ke aage koi raah milegi?

hawa nigodi
allahad ghodi
boli tinke tu pagal hai
main le chalti hunn tujhko
pass hi taal hai
taal main jal hai

sooch main doobe jaane se accha
tu paani main doob ke tar ja
teri life ka kuch nahi hoga
chaahe jee le, ya phir marr ja

be-fikar tinka
be-darr tinka
taal ke paani main ja kooda
durr kinare bithe maindak
chiilaye koi dooba dooba

palat kee doondha
udaas hawa ne
par tinka phir
nazar na aaya
reet pe ja kar likha hawa ne
jo chidiyoon ki samjh na aaya


"bina paankh ke udne vaale
jo sooch main doobe...marr jate hain"
 
Back
Top