Tried to look for the lyrics but couldnt find em'. If someone could post it. will be great. Thank you.
Papa kehte hain bada naam karega.. Beta humara aisa kaam karega.. Magar yeh to, koi na jaane, ke meri manzil hai kahaan.. Papa kehte hain bada naam karega.. (Baithe hain milke.. sab yaar apne Sab ke dilon mein armaan yeh hai.. ) --2 Woh zindagi mein.. kal kya banega, Har ik nazar ka sapna yeh hai..... Koi engineer ka kaam karega.. Business mein koi apna naam karega.. Magar yeh to, koi na jaane, ke meri manzil hai kahaan.. Papa kehte hain bada naam karega.. (Mera to sapna, hai ek chehera.. Dekhe jo usko, jhoomein bahaar.. ) --2 Gaalo mein khilti.. kaliyon ka mausam Aankhon mein jaadoo, hoton pe pyaar.. Banda yeh khoobsoorat kaam karega.. Dil ki duniya mein apna naam karega.. Magar yeh to, koi na jaane, ke meri manzil hai kahaan.. Papa kehte hain bada naam karega.. Beta humara aisa kaam karega.. Magar yeh to, koi na jaane, ke meri manzil hai kahaan.. Papa kehte hain bada naam karega..