Qaidi

Discussion in 'Poetry and Lyrics Forum' started by Babydoll, Feb 16, 2006.

  1. Babydoll

    Babydoll New Member

    kya be maani si zindagi hai meri
    Na hawa hai na khushbu hai
    kis haal main hum jeete hai
    aey logo ! kya aap ko andaaza hai koi

    Na dekhti hai suraj ki kirney
    na payi kabhi chand ki roshni
    ek ghutan si hoti hai yaha
    na sada sunta hai koi

    lagti hai zindagi ek bad dua si ab
    phir bhi ye saans kyu ruk ti nahi hai
    be jurm aseer hu main ek
    aur ye zindaan hai koi

    kya kabhi rihayi na hogi meri
    kya yahi kabr banegi meri
    ye kis sabab main main hu yaha
    zara mujhe samjaye koi

    es faqeh kashi ke alam main
    koi to dilasa de jaye
    virani dhasti hai mujhko
    In hotho pe tabassum le aaye koi

    Aseer --- > Qaidi / Prisoner
    Zindaan ---- > Prison /Qaid Khana
    Faqah --- > Fast / Bhukh..Pyas
    Tabassum --- > Smile
     
  2. madhuresh

    madhuresh madhuresh

    app ne accha attempt kiya hai abhi main rep nahi kar sakta ....varna jaroor karta ...not for the thoughts (they r childish) but for the selection of words...
    i dont know how old ur, but this is not the real state of a lonley persona....
    "Dhoop jagane aayi subhe, choote roshandaan se
    ..Raat be intazaar hi soo gayi thi, bagal main kal bhi "
    roshandaan:- small window kinda smaal opning in walls but much higher on wall
     
  3. amit82cse

    amit82cse Silent observeR

    acchacha hai...bahut achachaa hai...
     
  4. Babydoll

    Babydoll New Member

    Thnx guys ..
    ye sirf ek adna si koshish thi.. es se pehle main kabhi koi mozu pe nahi likha siwai pyar ke es liye shayad main itni gehrayo main nahi ja payi :hbr: magar agli baar gehrai se likhne ki koshish karungi
     

Share This Page