Pyar ka ehsaas (not written by me)

Discussion in 'Poetry and Lyrics Forum' started by Varshita, Jan 18, 2006.

  1. Varshita

    Varshita New Member

    Apne ehsas se chu kar mujhe sandal kar do,
    Mein Sadion se adhoora hoon mujhe mukamil ker do,
    Na tumhe hosh rahe or na mujhe hosh rahe,
    Is kadar tot ke chaho,mujhe pagal kar do,

    Tum apni hatheli ko mere pyar ki mehndi se rungo,
    Apni anhkon mein mere naam ka kajal kar do,
    Is ke saye mein mere khawab dhak utheenge,
    Mere chehre pe chamakta hua anchal kar do,
    Dhoop hi dhoop hu mein tot ke barso mujh par,
    Is kader barso meri rooh mein chal thal kar do,

    Jaise sehraoon mein har sham hawa chalti hai,
    Is terhan mujhme chalo aur mujhe thal kar do,
    Tum chupa lo mera dil kone mein apne dil ke,
    aur mujhe meri nigahoon se be ojhal kar do,
    Masla hoon tu nigahe na churaoo mujh se,
    Apni chahat se tawaja se mujhe hal kar do,
    Apne ghum se kaho har waqat mere saath rahe,
    ek ehsan karo is ko musalsil kar do,
    Mujh pe cha jaoo kissi aag ki sorat Jana,
    aur meri zaat ko sokha howa jungle kar do.


    p.s. NOT MINE !!
     
  2. Varshita

    Varshita New Member

    i m planning to post all lovey dowey shers here...you all are welcome to contribute !!

    Tamanna hai teri aankh ka aansu maiN banja'ooN
    Qatray kee shakal maiN teray gaal pay beh ja'ooN

    Mumkin nahien agar meri guzarish ka poora hona
    Rab say dua hai teri aankh main hee sookh ja'ooN
     
  3. vini

    vini Repeat Offender

    sandal???? (post#1)
    nice poem...but incorrect usage of language! :yawn: it should be chandan in hindi..convey to the poet!

    but nonetheless nice work!!

    vaise im sorry..i cant contribute to ur thread!!
    not into sher-o-shayaris as such!
    :)
     
  4. Varshita

    Varshita New Member

    lol.... i thot hindi mein sandal (or even chandan) hi kehte hai....

    shayad......

    lemme check with a few !
     
  5. khuddusantana

    khuddusantana New Member

    badiya hai ...
     
  6. Varshita

    Varshita New Member

    Shaam ka sama tha, mausam abhi jawan tha
    dil-soz fizaaon main bhi gazab ka nasha tha

    chhat par khadi thi surkh jode mein wo shama
    neeche gali mein jiska parwana khada tha

    ankhon mein wo kasish,wo tadap, wo band hoton se baatein
    bas kuch isi tarah unka pyaar parwaan chad raha tha

    shikwa shikayat, roothna manana
    ab to bas yahi silsila chal raha tha

    lagi is mohabbat ko zamane ki nazar
    shahar bhar main ye pyaar badnaam ho raha tha

    lage jo pehre hazaron un maasoomo pe
    to ro ro ke dil bagawat kar raha tha

    mili thi nigahain jis gali mein
    wahi se aaj parwane ka janaza uth raha tha

    na ji saki wo shama bhi ek pal
    parwane ke saath hi uska wajood jal raha tha

    ro raha tha har pyar karne wala
    akhir mohabbat ka naam jo khaak ho raha tha!!
     
  7. Varshita

    Varshita New Member

    Barson ke baad dekha ..
    ek shakhs dil Ruba sa...

    Ab Zehen Main Nahi Hai,
    Pur naam tha bhala sa.....

    Abro khiche khiche sey ....
    ankhain jhuki jhuki si..

    Batain ruki ruki si,
    Lehja thaka thaka sa...

    Khwabon main khwab usska,..
    Yadon main yad usski...

    Neendon main ghul gaya ho,
    Jaise ki Rut-jaga sa...

    Pehle bhi log aye,....
    kitne hi zindagi main...

    lekin vo har tarah se, ...
    auron se tha juda sa.....

    Aglee Mohabaton ne,
    woh NaMuraade dee theen..

    Taza Rafakaton se,
    Kuch Dil tha dara dara sa...

    Kuch Ye ke muddatton se ,
    Hum Bhi nahi the royee..

    kuch zehen main bujha tha ...
    Ehbaab ka dilasa...

    Ab Sach kahe to yaro,..
    Humko khabar nahi thi...

    Ban jayega Kayamat,
    Ek Vakiya Zara Sa...

    Tevar BaiRukhi ke.....
    Andaaz Dosti ke...

    woh ajnabi tha laikin,...
    lagta tha aashna sa..

    Hum Dusht the ke Dariya,...
    ham Zeher the ke Amrit...

    Nahak tha jaam humko,
    jub woh nahi tha Pyasa...
     

Share This Page