Nishabd

Discussion in 'Poetry and Lyrics Forum' started by monica_decosta, Apr 6, 2012.

  1. monica_decosta

    monica_decosta Active Member

    prashn kayi swaas main
    pag issi vishwaas main
    badh chle ki ye safar, kisi nagar pahunchayega
    ..ann-suna adhoora raasta udhaar ka

    bhool to huee magar
    iss prahar ki uss prahar
    vo utthi to bol padi, tu chala to jayega
    ...nirwastr uss ki chaah aur vaasta tha pyaar ka

    veeg nahi raqut main
    vishawaas nahi bhaqut main
    vo zara dara dara, na-jaane-kyaa ban-jayega
    ..nishabd uss ka geet, mann kuchh nahi sanwaarta

    Jala jala sa boodh,
    aur chubha chubha sa krodh
    apbrashnsh bana jeevan, na-iss na-uss paar ka
    ..ek boond tum ho aur vo ek pag hi durr hai
    ..thaam lo ki mann se tumahin mann mera pukaarta
     

Share This Page