khidki

Discussion in 'Poetry and Lyrics Forum' started by monica_decosta, Oct 24, 2008.

  1. monica_decosta

    monica_decosta Active Member

    mere kamre main bed se lagi,vo jo kidki thi parda odhe khadi...
    dekha karti thi mujhe mere masroof subhoo shaamoon main..

    kayi baar barish-aur hava ko, bula ke laayi mere liye
    kayi baar chadani aur doop ko, jaga ke laayi mere liye
    vo apne badan ko kushboo-main-duboo-kar,
    saja ke layi mere liye...

    sab se milte ho rooz yahin, TV lappy mobile phone
    mujhko dekhooge bhi kunn, aakhir main tumhaari hunn hi kaun..
    ye keh ke vo baand hone lagi boondain tapka ke sheeshoon se
    ek nazar ki chaahat mann main bhare, mere bhoore pathreele galichoon se

    maine suna nahin vo baand ho gayi.. abb laakh jatan se bhi khulti nahin
    zara dhaayn deena aye dost tum bhi ...koi khidki khulti ass paas hai kahin

    abb taaza hava aati hi nahin..khud ke liye vo-mujh-se kunn na ladi..
    kaise dhoondoon itne saare, jaane anjaane namoom main..
    mere kamre main bed se lagi,vo jo kidki thi parda odhe khadi...
    dekha karti thi mujhe mere masroof subhoo shaamoon main..
     

Share This Page