'Kabhi Kabhi...!'

Discussion in 'Poetry and Lyrics Forum' started by Amanush..., Apr 24, 2006.

  1. Amanush...

    Amanush... Tanha Rahi...!

    Kabhi kabhi
    Zindagi ke kitaab ke pan.non
    par kuch lafz paata houn…
    Magar we mere ungliyon ke
    likhe houe nahin hein…

    Kabhi kabhi
    Meri ankhon se
    ek bound ansoo tapak jaata hai…
    Magar mein wo nahin
    jissne isse bahaaya hai…

    Kabhi kabhi
    Apne chehre par
    kuch sansein mehsoos
    kar leta houn…
    Tab samajh main aata hai…
    Duniya ke dil ki dhadkanein
    meri sanson se juDe houe hein.

    Aur tab mein apni ankhon
    ko bandh kar leta houn…
    Ouss madhur raag ko
    sun.ne ki koshish karta houn
    jiss main pyar ke swar hon…
    Aur mein oun dhvaniyon main
    Toum ko bhi paata houn...!


    Amanush...

    :)
     
    souman_das likes this.
  2. souman_das

    souman_das New Member

    hi amanush,
    great work brother.
    you are really gifted brother.
    nice poem,it really touched me.

    reps for you.


    regards,
    Souman
     
    Amanush... likes this.
  3. Amanush...

    Amanush... Tanha Rahi...!

    Thanks for appreciating this poem...Souman !

    Do keep encouraging and take care...ok ?

    Amanush...

    :)
     
  4. nimisha

    nimisha .:Forum Leader:.

    lovely three stanzas.. reading them i thought there might be good explaination of the described thoughts in forth stanza..
    but.. forth one is not tht catchy so poem creates less effect..
    but no matter.. the work is great..!
     

Share This Page