Is Baar Mera Dil Toota Hai

Discussion in 'Poetry and Lyrics Forum' started by Babydoll, May 5, 2006.

  1. Babydoll

    Babydoll New Member

    Na zikr karo unka na baat kisi gair ki ho
    Khamoshiya hi rehna do is baar mera dil toota hai

    Hai kise chah roshni ki ye shama kis ne jalayi hai
    Taarikhiyo ko chahne do is baar mera toota hai

    Ek umeed dil mein basayi thi ab baki nahi hai kuch bhi
    Tanha ziist guzar ne do is baar mera dil toota hai

    Bohot uthaye naaz unke aur sahi saari ghutkiya bhi
    Humse na ab koi aas rakho is baar mera dil toota hai

    Apno ne humein thukraya hai gair bhala apnaye kyu
    Mat pucho mujhse haal mera is baar mera dil toota hai

    Kyu mangu kisi se main panaah kyu jau kisi ki chokhat pe
    Aey rab tujhi se hai gila ke is baar mera dil toota hai

    Aasaar mere samje na mere gam ki hadh jaani
    Ab talab nahi baaki koi mehfil ki is baar mera dil toota hai

    Na udaao meri yuh hassi na dekho aisi nazro se
    Main sach kehti hu tumse is baar mera dil toota hai

    Piya nahi jaata hai mujhe se ayyaam ki is talkhi ko
    Lahed mein mujhe ab so jaane do is baar mera dil toota hai

    Dil ke har ek tukde se yahi ek sadaa aati hai
    Rakh do kalam ko bas ab tum is baar mera dil toota hai
     
    madhuresh likes this.
  2. walk_alone

    walk_alone **~~| An Atheist |~~**

    bahut badhiya....
    kiski itni himmat ki aapka dil tod de.
    hamen bhi mauke dee jiye,ham hi fevicol se jod de.

    jokes apart....
    i liked it
     
  3. madhuresh

    madhuresh madhuresh

    Piya nahi jaata hai mujhe se ayyaam ki is talkhi ko
    Lahed mein mujhe ab so jaane do is baar mera dil toota hai

    last lines
    and actually all lines r beautifull ....reps added....actually mere ko issliye bhi acchi lagi .....cause bhahi loog ke saath bhi kuch aisa hi hoone ja raha hai :(
     
  4. madhuresh

    madhuresh madhuresh

    main vahi karuunga jiss se ki, vo palat ke mujh ko na dhekhe
    bass dil ko samjhana baki hai iss baar mere dil toote ga..!
     
  5. nimisha

    nimisha .:Forum Leader:.

    sometimes i criticise u for the repetitiveness in ur poems..
    but here the style appears good..

    its great dollie..
    btw.. hope u r fine.. not seen you since ages..!
     
  6. RoMeO_Gguru

    RoMeO_Gguru .::idiotic crybaby::.

    hey nice can u rite lyrics for me sufi kind ????
     
  7. nimisha

    nimisha .:Forum Leader:.

    ^^^i think she will.. she has awesome vocabulary..
    plus she writes devotional poems too..
    just pm her..
     
  8. Babydoll

    Babydoll New Member

    @ thnx walk-alone

    @thnx madhuresh

    @aur nims. tumhare coments se to bohot darr lagta hai so i think twice befor posting my poem par thank god es baar koi aisa waisa comment nahi mila.. ;)thnx honey :nw:
     
  9. nimisha

    nimisha .:Forum Leader:.

    arre yaar.. mere comment se kya darrna..??????
    kisi pagal ne bola hai, samaz ke bhool jaane ka..
     
  10. Babydoll

    Babydoll New Member

    aise kaise bhool jau yaar , tum se to hamesha kuch na kuch sikh ne ko milta hai
     

Share This Page