Gardishein

Discussion in 'Poetry and Lyrics Forum' started by arpi, Apr 10, 2007.

  1. arpi

    arpi New Member


    ajj phir teri yaadon ne dar-e-dil pe dastak diya
    mohabbat ka fasaana bil-aakhir nakaam mustaqbil pe attak gaya

    wohi barbaadiyon ki saughaat phir zindagi mein aabaad huwi
    dil ek baar phir aasuon ki mehfil mein bhattak gaya

    jahaan se chale thay pehle kabhi
    phir dil ussi mordh pe lekar aa gaya

    pehle bhi kabhi aabaad hoke barbaad huwe thay hum
    aaj phir naseeb ussi manzil pe attak gaya

    Shayad muqaddar ne yahi saza mukarrar ki humaare liye
    Ke hum bimaar-e-hijraan ban ke saans lete rahein

    Aabadiyan barbaadiyan, milna aur bichhadna
    Inhi gardishon mein kahin naseeb-e-dil bhattak gaya​

    dar-e-dil=heart's door
    bil-aakhir=finally
    mustaqbil=future
    mukarrar=fix
    bimaar-e-hijraan=person suffering from separation
    gardishon=cycles
     
    nimisha likes this.
  2. nimisha

    nimisha .:Forum Leader:.

    hey arpu.. thats good one!
    reps for you
     
  3. notty_lad

    notty_lad sudo undress


    You've changed the gender here. It should be Dar-e-dil pe dastak di

    Either follow the whole rhythm or don't follow it. You've tried to follow it at places (attak, bhattak) and some places completely broke the rhythm (Saans lete rahein).

    Plus the usage of 'attak' and 'bhattak' is repetitive which I kinda didn't like.

    And Naseeb-e-dil ? Naseeb related to Dil is inappropriate for my liking.

    Anyway keep writing. I think you can do better than this.​
     

Share This Page