Dosti ka aaina channak kar toot gaya, Hum par mitne wala, humien hi loot gaya. Khud se jyada us par yakeen kiya humne, Aah!uska yeh julm, khud se yakeen choot gaya. Muhabbat aur pyaar ke kai jam takraye humne, Aaj wohi pyaala-wafa-ka sarak kar phoot gaya. Khud ko usse jab thoda sa maanga humne, Khud ko khuda samajh kar,humse woh rooth gaya. Chittak kar daaman jo sametna chaha humne, Junoon-e nafrat uska, sukoon mera loot gaya. Kadam akele chal pade phir mudh kar jo dekha humne, Saath yaaron, karwaan pyaaron, peeche chooth gaya.