Dard ki daastaan

Discussion in 'Poetry and Lyrics Forum' started by chauhandynasty, Apr 19, 2014.

  1. chauhandynasty

    chauhandynasty New Member

    Hame Ye Zindagi Kaha Le Chali
    Dill Ne Awaj Di, Jo Hamne Na Suni
    Likhne Chale the Ek Dastaan Ankahi
    Us Raah Pe Jise Manjil Hamne Chuni

    Bahut Roka Hamare dil Ne Waha Jaane se Hame
    Bahut Roka Hamare dil Ne Wahan Jaane Se Hame
    Par Dil Ki Ek Na Suni Aakhir Dar Kaha Tha Jamane Se Hame

    Jis Manzil Ki Talaash Mein Ham Dil Ko Piche Chor Gaye
    Wo Manjil Mili Hame to Hum Hans Kar Ro Gaye

    Dil Ki Yaad satane Lagi
    To Wapas Jaane Ko Socha Hamne
    Dil Ki Yaad satane Lagi
    To Wapas Jaane Ko Socha Hamne
    Par Saza Dene Ko Humko
    Niche Jaane Ki Raah Na Di Rab Ne
    Bahut Roye Bahut Gir Giraye
    Bahut Roye Bahut Gir Giraye
    Par Rab ne Ek Na Suni
    Bola Mujhse, Mere Ko Kya Kehta Hai
    Tune Khud Hi Ye Raah Chuni

    Ab Samajh Mein Aaya Humko
    Jamane Ki ChakaChaundh Mein Hum Itna Kho Gaye
    Ki Jitni Manjil Paane ki Talab Na thi
    Us se Jyada Dil Ki Yaad Mein Ro Gaye

    Khuda Ne Hamari Nahi Par Dil Ki Dua Pe Gaur Farmaya
    Aur Ek Mauka Diya Wapas Niche Jaane Ko
    Par Kaha Ki Fir Raah Na Dunga
    Yahan Upar Aane Ko

    Ab Samajh Gaye The Hum Manjil Itni Paas Hote Hue
    Nikal Gaye The Dhundne Kuch Aur Hi
    Ab sirf Dil Ki hi Chahat Thi Na Chaiye Tha
    Dil Ke Siwa Kuch Aur Bhi

    Jab Us Raah Pe Pahuche Jahaan Juda hue The
    Ham apne Dil Se
    Jab Us Raah Pe Pahuche Jahaan Juda hue The
    Ham apne Dil Se
    To Ek Dariya Mila Aur Mile Usme Tairte Kuch Tukre
    Hamne Pucha Khuda Se Kahaan Hai Mera Dil
    To Khuda Ne Ishara Karte Hue Kaha Yahi Hai tera Toota Dil

    Dil Ki aawaz Ansuna Karke Jab Tu Dil Ko Chor Gaya
    To Tera Dil teri Judaai mein Tut Kar Bikhar Gaya
    Itna Roya Teri Yaad Mein
    Ki Iske Khoon ke Aanso'on se Zameen Bhi Bhar Gaya.....

    Plz don't copy.... Lyk my Page www.facebook.com/muzikdynasty/
     

Share This Page