3.............Hindi Pop Songs...

Discussion in 'Hindi Lyrics - Submit or Request' started by kajari, Nov 9, 2005.

  1. kajari

    kajari New Member

    (mujhe pyar nahi tujhse hain ba ….mujhe dil bil nako tera deba) – 3…. Aaika dajiba...

    Sab kehte hain meri mehbooba … teri aankhon mein mera dil dooba
    Ho teri aankhon mein mera dil dooba …….aaika dajiba ......

    Katkat nako mach mach nako…. Gadbab nako an teri badbad nako
    Katkat nako mach mach nako
    Hain jo himmat toh kar le mujhe baiko…. Karke baiko tu le ja mujhe ghar ko
    Phir main bayli tu mera baba….. Phir tu bole so hoga re saiba
    Ho phir tu bole so hoga re saiba – 2 …… aaika dajiba ....

    (mujhe pyar nahi tujhse hain ba mujhe dil bil nako tera deba) – 2…. Aaika dajiba ....
    Aayina dekh ke bole, yeh savarne wale,
    ab to bemaut marenge, mere marne wale,

    ----

    dekh ke tumko, hosh mein aana,
    bhool gaye,yaad rahe tum,
    aur jamana bhool gaye,

    jab samne tum, aa jate ho,
    kya jane kya ho jata hai,
    kuch mil jata hai, kuch kho jata hai,
    kya jane kya ho jata hai,

    chaha tha yeh kahege, socha tha who kahege,
    aaye who samne to, kuch bhi na keh sake bas,
    dekha kiye unhe hum,
    dekh kar tum ko yakin hota hai,
    koi itna bhi haseen hota hai,
    dekh pate hai kaha hum tumko,
    dil kahi hosh kahi hota hai,

    aa kar chale na jana, ayese nahi satana,
    dekar hasee laboo ko, aakho ko mat rulana,
    dena na bekarari, dil ka karar ban ke,
    yaado mein kho na jana, tum intajar banke,

    bhool kar tumko na jee payege,
    saath tum dogi jaha hum jayege,
    hum koi waqt nahi hai humdum,
    jab bulaoge chale aayege.
    -------------------------------------------
    Tera chera hai aaene jaisa, kyo na dekhu hai dekhne jaisa,

    tum kaho to main puch lu tumse, hai sawal ek puchne jaisa

    dost mil jayege kayi lakin, na milega koi mere jaisa,

    tum achanak mile the jab pahle, pal nahi hai wo bhulne jaisa

    ------

    (aankh mein kajra, baal mein gajra, bindiya jo lagaayi re
    Dekhke teri mast jawaani, chanda bhi sharmaaye re) - 2

    Oye oye oye oye oye
    Meri chunar ud ud jaaye - 2
    Haai dil mera ghabraaye
    Koi yeh to bataaye mujhe yeh kya hua hai - 2
    Mera dil kyoon machla jaaye, haai

    (unke taras ko harpal meri aankhen tarsi jaaye
    Tanhaai bechaini mujhko kyoon itna tadpaaye) - 2
    Koi yeh to bataaye mujhe yeh kya hua hai - 2
    Mera dil kyoon machla jaaye, haai
    Meri chunar ud ud jaaye…. Haai dil mera ghabraaye

    (rang rangeeli chunar meri laheron si laheraaye
    Mast pawan ke chanchal jhonken preet ke geet sunaaye) - 2
    Koi yeh to bataaye mujhe yeh kya hua hai - 2
    Mera dil kyoon machla jaaye, haai

    ---

    Pehla yeh pehla pyaar tera mera soni
    Pehli yeh mulaaqaat hai, pehli yeh mulaaqaat hai
    Jo keh rahi hain aankhen, voh keh rahi hain baatein
    Jaagi tu bhi saari raat hai, jaagi tu bhi saari raat hai
    Pehla, haai pehla tera mera pyaar
    Dil pe chala na jab zor koi(2)tu mere paas aa gayi
    Haai, main tere paas aa gaya
    Pyaasi hain teri saansein, pyaasi hain meri saansein
    Us pe yeh barsaat hai, us pe yeh barsaat hai
    Pehla, haai pehla tera mera pyaar

    Kab se the hum tum tanha akele
    Kab se the hum tum tanha akele, aaj tujhe chain mil gaya
    Aaj mujhe chain mil gaya
    Baahon mein meri tum, baahon mein teri hum
    Aur yeh jawaan raat hai, aur yeh jawaan raat hai
    Pehla, haai pehla tera mera pyaar
    Ruk si gayi hai teri meri raahein
    Ruk si gayi hai teri meri raahein, hum jo saath aa gaye
    Haai, manzil ke paas aa gaye
    Aaye the kahan se donon, jaayenge kahan pe donon
    Yeh to ab kise yaad hai, yeh to ab kise yaad hai
    Pehla, haan pehla tera mera pyaar
    Pehla yeh pehla pyaar tera mera soni
    Pehli yeh mulaaqaat hai, pehli yeh mulaaqaat hai
    Jo keh rahi hain aankhen, voh keh rahi hain baatein
    Jaagi tu bhi saari raat hai, jaagi tu bhi saari raat hai
    Pehla, haan pehla tera mera pyaar
    Haai pehla tera mera pyaar(2)

    ---

    (khoya khoya chand rehta hai aasmaan ke paas
    Khoye khoye hum bhi rehte hain is jahaan ke paas) - 3
    Khoya khoya kyoon rehta hai aaj kal yeh dil
    Tum to meri jaan samajhti ho kya meri mushkil
    Saari saari raat jaagoon main chandni ke saath
    Bas mein nahin hai aaj kal yeh mere jazbaat
    Keh do naa, keh do naa, keh do naa pyaar hai - 2

    (dekhta hoon sirf tumko, tum nigaahon mein basi ho Chaahta
    hoon sirf tumko, tum to meri aashiqui ho) - 2
    Saari saari raat jaagoon main chandni ke saath
    Bas mein nahin hai aaj kal yeh mere jazbaat
    Keh do naa, keh do naa, keh do naa pyaar hai - 2

    (mar gaya pehli hi nazar mein main tumhaari is saadgi pe
    Dekho aise shaq karo naa tum meri deewaangi pe) - 2
    Saari saari raat jaagoon main chandni ke
    saath
    Bas mein nahin hai aaj kal yeh mere jazbaat
    Keh do naa, keh do naa, keh do naa pyaar hai - 2
    Khoya khoya chand rehta hai aasmaan ke paas
    Khoye khoye hum bhi rehte hain is jahaan ke paas
    Khoya khoya kyoon rehta hai aaj kal yeh dil
    Tum to meri jaan samajhti ho kya meri mushkil
    Saari saari raat jaagoon main chandni ke
    saath
    Bas mein nahin hai aaj kal yeh mere jazbaat
    Keh do naa, keh do naa, keh do naa pyaar hai - 2

    ----

    Lafzon mein keh na sakun bin keh bhi reh na sakun(2)
    Nasha hi nasha raat din hai na pucho yeh kaisa pyar hai

    Halki si barsaat mein, pehli mulakat mein,
    Pehli hi baar mein dil ko mere le gayi,
    Chahat ke ikrar mein anjaana gham de gayi.
    Aayi jab saamne jaane kyun woh darr gayi paagal mujhko kar gayi janeman .. Janeja
    Na jaane kya baat hai lage ki din mein raat hai(2)
    Nayi hai subah to nayio shaam ajab haal mera yaar hai

    Mera dil meri jaan mein yahan tu hai kahan
    Mein dekhun mudke jidhar,aaye mujhe tu nazar
    Kehti hai chahate deewana mein ho gaya
    Teri chahat mein sanam najaane kab kho gaya
    Yeh kaisa hai asar mujhko na itni khabar kab jaaga kab so gaya jane man …. Janeja

    -----

    Ho gayee hai mohabbat tumse

    aaein palkon mein khaab banke , reh gaye sar-aankhon par
    bade hain ahsaan humpe , dil ne kiya jab asar
    oh, mil gayee hai amanat tumse .. Ho gayee hai mohabbat tumse

    rakhdein sara jahan ki khushiyan , tumhare kudmon par
    dekhe na mudkar duniya , awaz de do agar
    oh, le rahe hai ijazat tumse … ho gayee hai mohabbat tumse

    haule dil apna suna ke , dekhe hua kya asar
    naraz humse na hona , bahon mein le le agar
    oh, itnisi hai inayat tumse ….. Ho gayee hai mohabbat tumse

    tumse hamesha main pyar karoonga , siva tumhare koi naam na loonga (2)
    i will always love you, all my life
    keh rahe hai haqeeqat tumse

    i will always love you (i will always be in love with you, you never understood)
    all my life (you never believed me)
    zindagi hai janat tumse (wherever you are, whatever you do, i belong to you)

    i will always love you (i've been lost and i've been crying)
    all my life (i can't forget it)
    keh rahe hai haqeeqat tumse (i will always be in love with you, you never believed)

    i will always love you (you never understood)
    all my life (wherever you are, whatever you do, i belong to you)
    zindagi hai janat tumse

    ----

    Shaam se aankh mein nammi si hai
    Aaj phir aap ki kami si hai
    Shaam se aankh mein nami si hai

    Dafan karr do humme ke sans mille
    Nabaj kuch derr se thami si hai
    Aaj phir aap ki kammi si hai

    Waqt rehta nahin kahi tikk karr
    Iski aadat bhi aadami si hai
    Iss ki aadat bhi aadami si hai
    Aaj phir aap ki kammi si hai

    Koi rishta nahin raha phir bhi ek tasvir lajmi si hai
    Shaam se aankh mein nammi si hai
    Aaj phir aap ki kammi si hai

    ---

    Hum ratoon ko uth kar rotay hain
    jab sara alam sota hai
    hooo chandni ratein (2)
    sab jag soyyyyyy.
    Hum jagain taroon se karain batein hooo
    chandani ratein hooo chandani raatein. Hmmmm....
    Taktey taktey tuti ja ay aas pia na ay re takte takte
    sham sawaray beath anookhay uthay jia ghabraya ray sham sawaray
    ratoon ne mere neend lootli ratoon ne mere neend lootli dil ke cheen churayay re dukhiya ankhein dhond rahi hain wohi pyar ki khatain chandani ratain
    phicli raat mein hum uth uth ke chupke chupke royain reee
    pichli raat mein sukh ki neend mein meet humaray des paray sooin reee sukh ki neend mein dil ke dharkanein tujhay pukarain dil ke dharkanein tujhay pukarain aja balam aai baharein beath ke tanhai mein kar lein sukh dukh ki do baatein chandani ratein
    sab jag suyay hum jagein taroon se karein baatein hooo
    chandani raatein.
     
  2. theworld

    theworld New Member

    hye

    only lyrics....y ...no chords yar
     
  3. because its a Lyrics Forum..search Hindi guitar tabs forum for chords and tabs...
     

Share This Page