Zindagi Jeene Ka Naam Hai...

Discussion in 'Poetry and Lyrics Forum' started by tejz, Nov 26, 2007.

  1. tejz

    tejz New Member

    Mera tujhse yahi paigaam hai,
    Ki zindagi jeene ka naam hai...

    Kaante to ate rahenge safar me yaar,
    Aur unki fitrat badi beimaan hai,
    Hosla humara jad se todna,
    Yahi to un kanto ka kaam hai,
    Par ek bat fir bhi kayam hai ki,
    Zindagi bada khubsurat jaam hai,
    Mera tujhse yahi paigaam hai,
    Ki zindagi jeene ka naam hai...

    Hur mod pe mile hain do raste tujhe,
    Khushi aur gum un dono ka naam hai,
    Chahe to khush raho ya dubo gum me,
    Is bat ko chun na tumhara kaam hai,
    Mera tujhse yahi paigaam hai,
    Ki zindagi jeene ka naam hai...

    Insaan bana hai tu kismat se teri,
    Us baat ka kyu nahi tuje abhimaan hai,
    Zinda to kutta aur billi bhi hain par,
    Wo sirf zinda hain aur tujme jaan hai,
    Mera tujhse yahi paigaam hai,
    Ki zindagi jeene ka naam hai...

    Khud ko jeene se mat rok mere dost,
    Har pal lutkar jeene ki aur hi shaan hai,
    Jab uparwale se ho mulakat to wo kahe,
    Tuje insaan banane pe mujhe khud pe maan hai,
    Mera tujhse yahi paigaam hai,
    Ki zindagi jeene ka naam hai...

    -Tejas
     
  2. madhuresh

    madhuresh madhuresh

    baba ke anmool vachan .. lol !!
    may be this is how u feel...varna itni bhi important nahi life
    well...good effort !
     
  3. tejz

    tejz New Member

    U know madhuresh at some time...u feel like there is a philosopher in u.. that wakes up some times...thats a product of such time ;-) LOL
     

Share This Page