ek second hi sahi, par aapne zindagi aur rishton ka bohut ahem pahlu uthaya hai.
insaan kabhi kabhi kutchh aisay hi daur say guzarta hai, ki jis awaaz ko woh har pal sunna chahta tha kabhi, kutch waqt guzar jaane ke baad woh junoon zinda nahi rehta hai .ya yun kahein kutchh feeka pan sa aajata hai.tab hum keh dete hain ki haan humein pyaar hai, par uska asli matlab sirf itna hi hota hai ki mujhe tumhari fiqr hai.pyaar badal jaata hai sirf care mein ya shayad woh bhi nahi.........filhaal main isi daur mein hun, na jaane kyun par main hun. chah raha hun waapis usaay utna hi pyaar karna par nahi kar paa raha.kya reason hai pata nahi...............