Yaad Nahi

Discussion in 'Poetry and Lyrics Forum' started by Babydoll, Mar 20, 2006.

  1. Babydoll

    Babydoll New Member

    Gham itne mile hai zindagi main
    ke ab khushi ka chehra tak yaad nahi

    Berang huwe hai sab rang kuch aise
    ke ab mehndi ka rang tak yaad nahi

    Sirf khamoshi baki reh gayi hai es ziist main
    Ke ab chudiyo ki khanak tak yaad nahi

    Yaha logo ke chehre pe dekhe hai aise naqab
    ke ab apna aks tak yaad nahi

    Kuch aisi udasi cha gayi hai in aankho main
    ke ab baharo ke nazare tak yaad nahi

    Ujde hai kayi aashiya in ankho ke saamne
    ke ab kisi chidiya ka gharondha tak yaad nahi

    Sapne kuch es kadar tute hai es shaher main
    ke ab koi bachi arzoo tak yaad nahi

    Andhero se jud gaya hai kuch rishta aisa
    ke ab shama ki wo roshni tak yaad nahi
     
  2. sachoo

    sachoo drenched in my pain again

    Ghar se itna door ho chala hoon
    ki mummy kay haath kay khaane ki mehak yaad nahi

    :cry2: . Please dont write emotional ones .... hehehehe :p: .

    kewl one. u r writing good.
     
  3. Babydoll

    Babydoll New Member

    Thnx sachoo g :nw:

    Ye post karte waqt bohot darr lag raha tha ke na jaane kaise comments milenge..milenge bhi ya nahi ..but aap ne achi shuruwat ki hai..thnx
     
  4. nimisha

    nimisha .:Forum Leader:.

    nice going...dolllie...

    but still i wud like to suggest more...
    rather than giving so many examples in poem...u can describe just few, very effectively..n add more rhyme..

    like...

    gam mile hai zindagi me itne ki,khushi ka chehraa tak yaad nahi...
    bewaa huyi ho khushiyon se isskadar, ke hasi ka sehraa tak yaad nahi..

    kuch aisi udaasi chaayi hai aankhon me,ke bahaaron ke nazaare yaad nahi
    aaj bhool chuki main khud ko bhi,kya aap kabhi the hamaare yaad nahi..


    it was my point of view to see this poetry... many may like urs better..
    but i suggested u... as freedom of speeech..u know..!!

    anyways girl...
    u rock... keep up ur nice work..
     
  5. Broken_heart

    Broken_heart New Member

    gam mile hai zindagi me itne ki,khushi ka chehraa tak yaad nahi...
    bewaa huyi ho khushiyon se isskadar, ke hasi ka sehraa tak yaad nahi..

    kuch aisi udaasi chaayi hai aankhon me,ke bahaaron ke nazaare yaad nahi
    aaj bhool chuki main khud ko bhi,kya aap kabhi the hamaare yaad nahi..


    Nice ones nimisha!

    & dolly urs is really good...But i agree with wht nimisha suggested!
    Keep it up
     
  6. Babydoll

    Babydoll New Member

    I gt yr point nims..next time i ll try not to gv so many exmples n describe few as u said ..
    Thnx alot nims.. but i must say tum lawajab ho sach..u rock sweety :nw:
     
  7. Babydoll

    Babydoll New Member

    @ Broken_heart thnx
     
  8. slash_i_m

    slash_i_m Laid to Rest

    hey doll thatz a goooooood poem really expressed evrythin well.gr8 wurk :)
     
  9. Babydoll

    Babydoll New Member

    Nims aapke hukm ki tamil karte huwe thode changes kiye hai ab batao kaisa hai ...

    Gham itne mile hai zindagi main,
    ke ab khushi ka chehra tak yaad nahi
    Khayi hai itni thokare humne,
    ke ab wo zakhm-e- nasur tak yaad nahi


    Berang huwe hai sab rang kuch aise,
    ke kumkum ka rang tak yaad nahi
    Jo in hatho main lagi thi kabhi,
    wo mehndi ki mehek tak yaad nahi


    Sirf khamoshi baki reh gayi hai es ziist main,
    Ke ab chudiyo ki khanak tak yaad nahi
    Bahro se ab rishta kaha hai,
    koyal ki chahek tak yaad nahi


    Yaha logo ke chehre pe dekhe hai aise naqab,
    ke ab apna aks tak yaad nahi
    Chand musafiro se huwi thi mulaqat safar mein,
    ab wo rasta wo rehguzar tak yaad nahi


    Kuch aisi udasi cha gayi hai in aankho main,
    ke ab baharo ke nazare tak yaad nahi
    Khel khele the humne bhi kayi bachpan mein,
    par aaj wo pal tak yaad nahi


    Ujde hai kayi aashiya in ankho ke saamne,
    ke ab kisi chidiya ka gharondha tak yaad nahi
    Baayi thi humne jo khawabo ki basti,
    wo kis tarha se ujdi ye tak yaad nahi


    Sapne kuch es kadar tute hai es shaher main,
    ke ab koi arzoo tak yaad nahi
    Ek umr guzar gayi hai ab toh,
    koi guzri justuju tak yaad nahi

    Andhero se jud gaya hai kuch rishta aisa ,
    ke ab shama ki wo roshni tak yaad nahi
    Suna hai humein bhi shokh tha ujalo ka,
    par ab toh koi diwali tak yaad nahi
     
  10. Babydoll

    Babydoll New Member

    Thnx alot slash :nw:
     
  11. arpi

    arpi New Member


    too good honey as always.... kammo good that u incorporated nimi-di's suggestions :) the sher is definitely improved thumbsup honey
     
  12. Babydoll

    Babydoll New Member

    Thnx arps...
     
  13. nimisha

    nimisha .:Forum Leader:.

    i see u r improving...
    just bit more rhyme...n that wil be great......!!!
     
  14. Babydoll

    Babydoll New Member

    OK nimi ji.. agli baar us ka khayal rakungi.. :)
    thnx
     

Share This Page