Tere Baare Main Jab Socha Nahin Thaa- Jagjit Singh

Discussion in 'Hindi Lyrics - Submit or Request' started by Devilshly_Pur$, Nov 10, 2006.

  1. Singer- Jagjit Singh
    Album- Saher



    Tere baare main jab socha nahin thaa

    Tere baare main jab socha nahin thaa
    Main tanha tha magar itna nahin thaa-2
    Tere baare main jab socha nahin thaa-2


    Teri tasveer se karta thaa baatein-2
    Mere kamere main aayina nahin thaa-3
    Main tanha tha magar itna nahin thaa
    Tere baare main jab socha nahin thaa


    Samandar ne mujhe pyaasa hi rakha-2
    Main jab sehra main thaa pyaasa nahin thaa-3
    Main tanha tha magar itna nahin thaa
    Tere baare main jab socha nahin thaa


    Manaane ruthne ke khel main hum-2
    Bichad jaayenge ye socha nahin thaa-3
    Main tanha tha magar itna nahin thaa
    Tere baare main jab socha nahin thaa


    Suna hai band kar li usne aankhen-2
    Kai raatoon se wo soya nahin thaa-3
    Main tanha tha magar itna nahin thaa
    Tere baare main jab socha nahin thaa-2

     

Share This Page