suraj ghuul gaya

Discussion in 'Poetry and Lyrics Forum' started by madhuresh, Nov 5, 2006.

  1. madhuresh

    madhuresh madhuresh

    title: Suraj ghuul gaya
    *********************************************************
    Vo dekho dharti main suraj ghul gaya
    yaha vaha ghuumata rehta hai dinbhar
    aavara kahin ka..!
    Dekho chand ko thandi shaant raat ke saath aaram se zindagi bita raha hai..
    Life settled sab fit..
    Kamaal ki kismat paayi hai bhai ne
    Badaloon ne koisish ki shaam ke saath date fix karane ki
    vo thandi hava chali aayi, badal bhi kyaa kar sakte the
    thandi hava bhi kabhi kabhi aati hai..
    Aur shaam ke paas vaqut kam hai
    ho bhi kuun na sweet hai seductive hai
    Orkut se pata chala ek boyfriend bhi hai
    So apne aavara ke liye wait kuun kare
    Main kshitij hunn isliye samajh jata hun
    abhi naraangi peele rangoon se mujhe bhar gaya
    saara din apni partain jalayi, manoo sab dhul gaya
    phir shaam ko dekh kar jhilmilaya, Ek pal ko jaise saare gam bhul gaya
    gahri gheri aankhe thi mujh se mili to laga hoga aaj raaz khul gaya
    ....Dostoon se kyaa chupana yaar, par vo dekho dharti main suraj ghul gaya...
    *********************************************************


    just another way of writng.....tukka maara
     
  2. nimisha

    nimisha .:Forum Leader:.

    madhuresh.. ye tumhari 'another way of writting' is.. 'out of this world'

    ye kya ulta sidha likkha karte ho..
     

Share This Page