akela bahut tha main bilkul akela manzil thi koi chala jaa raha tha kabhi sonchta tha ki aayega koi kabhi sonchta saath nibhayega koi yehi sonch khud pe hanse jaa raha tha na saathi tha koi na humdam kahin tha magar saath koi chala aa raha tha bachate bachaate nazar se chupate woh bachpan ki baatein purani woh yaadein humsafar ban ke jaise chali aa rahi thi kahan se chala tha kahan aa gaya main laga sonchne main ye baitha kinare yaadein chali aayee mujhko satane saath le aayee bite dino ki kitaabein lagi dheere dheere woh panne palatne aur har ek panna laga mujhse milne woh bachpan ke saathi woh mausam suhana woh ladna jhagadna aur fir ruth rona khayaalon mein rona yahan muskurana kisi yaad par fir woh aansoon bahana ajeeb inaki aadat ajeeb hain ye yaadein kabhi ye rulaye kabhi ye hansaye woh baatein purani woh manjar purana woh saathi purane woh sapane suhane woh yaadon ke panno mein simate huye se woh palkon ke parde mein rahte chhipe se main khoya hua tha yaadon mein aapane khayaalon mein apane sawaalon mein apane tabhi ek aahat ne mujhko jagaya kareeb aa kar usane fir mujhko pukara palat kar jo dekha khadi zindagi thi haath badaya aur mujhse woh boli manish late ho gaye aao chalein ab main utha apani yaadein sameta akela safar mein fir chal pada main.........
aree good man lucid and provoking .... end mast kiya hai ....i could guss lekin jo shari vaari nahi karta uss ke liye jor ka jhatka ho ga ...tumhari pankitiyoon ki katarain bhi acche posture main hain...samjho reps added