roshan zameer!!!!

Discussion in 'Poetry and Lyrics Forum' started by EP/*rocks*/, Aug 27, 2008.

  1. EP/*rocks*/

    EP/*rocks*/ New Member

    here is a song



    kya is zindagii kii tabeer hai yehi
    ek aisi dor jiska siraa hi nahii

    aisi aarzoo jiska wajood hi nahi
    aisi justujoo jiski qeemat hi nahii

    paaas saahil ho phir bhi kinaare choot jaate hain
    dukh bhare dein mein apne bhi choot jaate hain
    us waqt apne gham to aur bhi yaad aate hain

    chupke se khud se keh jaate hain ki hamaara wajood hai kahaan
    kyunki hum to insaan hain ROSHAN ZAMEER HAIN KAHAN

    dil ke haathon hi toot jaate hain
    wo taar jo jhanjhanaate hain
    phir yaad aate hain
    jab kabhi wo yuhin rooth jaate hain

    dheere se ye keh jaate hain
    bas wohi hai humaari zindagi ka sarmaaya
    humnein dukh aur tanhaaiyon ke siva kya hai paaya
    un waqton pe bhi too hi yad aayaa

    jab kabhi dil ye roya to ye hi samajh mein aayaa

    aakhir hum bhi to iss duniyaa ke aseer hain
    kyunki kaun se hum ROSHAN ZAMEER hain

    here ROSHAN ZAMEER means =one who know everything about past,present and the future
     

Share This Page