Pata Hi Na Chala!!

Discussion in 'Poetry and Lyrics Forum' started by arpi, Apr 10, 2007.

  1. arpi

    arpi New Member

    khat----------------------------
    Yeh Khat Uske Naam Jisko Main Apna Maan Ke Bhi Apna Keh Na Saki,

    ghustaakhi huwi meri in aankhon se
    jo tera deedar karne ki himmat ki

    uspe yeh sangeen jurm ke tere sapne sajaane
    ki haseen khattaa bhi toh inhi se huwi

    tera saath toh eh dilbaar mil na saka
    ab gham-e-dil ka saath baaqi hai

    humsafar ban chuke mere aansoo tamaam
    jinhe wafa karni toh, kam se kam, aati hai


    -tumhaari hoke bhi tumhaari na ho saki
    --------------------------------------------------​


    kab ghustaakh akhiyan
    tujhe paaney ke sapnay sajaane lagi
    pata hi na chala!!

    kab saahil-e-manzil ke chattan pe aake
    khawabon ki woh leher bikhhar gayi
    pata hi na chala!!

    tu hi tu kab nazar aane laga,
    meri aankhon ko harr nazaare mein
    pata hi na chala!!

    toot ke harr woh aaina kab bikkhar geya,
    basi thi teri surat jis mein
    pata hi na chala!!

    kab aaye tum zindagi mein,
    hava ke mehke huwe jhhonke ki tarha
    pata hi na chala!!

    kab daaman chhudaake chal diye,
    ek un-suni dua ki tarha
    pata hi na chala!!

    gham dil ki gehraaiyon mein duffan karke,
    kaise apne hi ansuon se pyaas apni bhujhaate gaye
    pata hi na chala!!

    apne tanha armaanon ki arthi,
    kaise apne hi khandhon pe uthhaake chalte gaye
    pata hi na chala!!

    chala ke mohabbat ki raahon pe
    kab naseeb mein mere khuda ne likhdi judaii
    pata hi na chala!!

    khaali damaan mein harr khushi bharke
    kab chheenke wohi khushiyan sitmabgar hogayi khudaii
    pata hi na chala!!

    khushiyon ki bahaar abhi aayi kahan thi
    ke gham ka andhera chhaa geya,
    kab zindagi ka yunh rukh badal geya
    pata hi na chala!!

    ab toh yeh aalam hai ke,na dil hai, na armaan,
    na saans lene mein woh kashish,
    kab jeene se yunh dil uthh geya,
    pata hi na chala!!


    -arpi-

    achcha phir mera salaam
    teri haseen berukhi, teri shaandaar bedilli ko

    achcha phir alvida
    khwaabon ki uss duniya ko

    phir milay na milay khushi koi
    gham ka sahaara kaafi hai

    phir milay na milay humsafar koi
    mere dard ka saath kaafi hai​
     

Share This Page