Paigaam

Discussion in 'Poetry and Lyrics Forum' started by Babydoll, May 14, 2006.

  1. Babydoll

    Babydoll New Member

    Chand ko dekho soya hai kaise badal ki aaghosh mein
    Bhavro pe bhi ho ek nazar kaise lipte hai gulshan main kaliyo se

    Taara ne bhi kaise dekho sajaya hai khud se is aasma ko
    Shama bhi karke khud ki numaish karti hai roshan tariqi ko

    Chand ye taare ye badal ye kaaliya
    Dekho hume kya sikhate hai
    Ye duniya hai apni ye log hai apne
    Mil jul ke rehna hume hai yaha...

    Sachi mohabbat ko dil mein basaye
    Hotho pe nagme bas pyar ke laye
    Milke sajaye es zindagi ko
    Apne hi tehzeeb ke phoolo se...

    Aao hum ek aisi hi basti basaye
    Aman ka parcham us mein lehraye
    Khun na bahaye ab se kisi ka
    Chalo uthaye hum ye ahad...
     
    Amanush... likes this.
  2. madhuresh

    madhuresh madhuresh

    Warning :- Ye advice keval 14 saal se kam umr ke babydools le liye hai

    Hum ne ek baar pyaar bantane ki soochi
    aur padosi ki beti se pyaar banta
    ladki to humare attempt ko samajh gayi
    Par uss ke baap ne bajaya chaanta
    Bye-god itne maare mere ghar vaalon ne bhi dande
    Pyaar banntne ke garam-gram armaan ho gaye thande..
     
  3. i think kuch rythm theek nahin kar raha...but still good work baby...:p:
     
  4. Amanush...

    Amanush... Tanha Rahi...!


    Tathastu...Be It So !

    Very nice, Babydoll...! I like it !

    Amanush...

    :)
     
  5. nimisha

    nimisha .:Forum Leader:.

    hmmmm...
    good... par aap to iss se bhi accha likh sakte hai..
     
  6. Babydoll

    Babydoll New Member

    @ Devilshly _ pur$ thnx, maine rythm pe dhyan bilkul nahi diya sirf jo baat zahen mein thi usi ko kagaz pe utar di hai

    @ thnx Amanush

    @ Nims ummm jaanti hu yaar ke main es se acha shayd likh sakti thi par ye paigaam kab se zahen mein tha toh likh ne se nahi rok payi..
     

Share This Page