Nazariya

Discussion in 'Poetry and Lyrics Forum' started by Babydoll, May 22, 2006.

  1. Babydoll

    Babydoll New Member

    Apne Mehboob ki chahat mein jo mar jate hai
    Yuh samaj li jiye pardes se ghar jate hai

    Hum to parwane hai sholo pe bhi chal jate hai
    Aur kuch log to jugnoo se hi darr jate hai

    Nakhuda jinka nahi unka khuda hota hai
    Jo na samje wo yuhi khauff se mar jate hai

    Koi kehta hai hawaa lati hai sang tabahi apne
    Par yahi tufaan to lehro ko ek kar jate hai

    Koi samje na samje ye apna apna nazariya hai
    Bas teri ek jalak paake hum to nikhar jate hai
     
    nimisha likes this.
  2. walk_alone

    walk_alone **~~| An Atheist |~~**

    Wah kya nazariya hai.
     
  3. Babydoll

    Babydoll New Member

    shukriya...
     

Share This Page