Nasamajh Dil

Discussion in 'Poetry and Lyrics Forum' started by i'm_not_neo, Nov 17, 2006.

  1. i'm_not_neo

    i'm_not_neo el valor máximo absoluto

    Okay,its an apt title for this poem.Its about a guy crazily in love with his wife...a bit too crazy though.


    Nasamajh Dil

    Mujhe yaad hai woh
    pehli mulakat
    saath jo thi woh hawaaye
    woh halki barsaat.

    Kehte they sab mujhse
    Ki tumhe mujhse pyaar nahi tha
    maine kisiki kabhi na sooni
    kyonki mujhe tumse pyaar tha.

    Mujhe nahi pata
    kab mera pyaar kam pad gaya
    kab tumhari mohabbat
    nafrat ka saaya ban gaya.

    Phir bhi yeh dil
    tumhi se pyaar karega
    Tumhi ke liye jeeyega
    Tumhi ke liye marega

    Shayad tumko na tha
    mere pyaar par yakeen
    Shayad tumhe pyaar hi na tha
    mujhse kabhi

    Isi liye shayad
    dhadkane dheemi ho rahi hai
    na jaane kyon
    ek ajeeb thand mahsoos ho rahi hai.

    Rokar tumne khud hi bata diya
    ki tumne hi mujhe jehar pila diya
    Lekin ajeeeb dil hai yeh
    Ab tak tumse khafa nahi
    Ishq kiya hai isne tumse
    Tumhare haaton se marna
    is dil ke liye koi saja nahi.

    Dam ghoot raha hai ab,
    dhadkane ghat gai
    dekhar tumhe ek akhri baar
    Is nasamajh dil se phir bhi
    ek muskaan jaag oothi....
     
  2. madhuresh

    madhuresh madhuresh

    ye thik nahi hai ..though the thought line u went with is ok..but way of expression is not good ..explore words ...good words .. silent words which scream .. innocent words who stare...real words who cry in her eye's when u die...Aisa kuch
    hope u got got me !
     
  3. i'm_not_neo

    i'm_not_neo el valor máximo absoluto

    I did get your point but basically I didn't want people to feel for this guy,instead I wanted them to pity his stupidity.
    But yeah,I should explore new words,phrases.
     

Share This Page