Naavik...chalta jaae..

Discussion in 'Poetry and Lyrics Forum' started by Ali Yawar, Aug 12, 2012.

  1. Ali Yawar

    Ali Yawar New Member

    Naavik chalta jaae..
    Kaya ki jarjar,
    naav lie..
    naino mein sapno ka,
    gaonv lie…
    vigat smritiyon ki lahron se ,
    door nikalta jaae..
    Naavik chalta jaae…

    kabhi sukh barsate,
    nagar milen,
    kabhi dukh ke,
    bheeshan bhanvar milen…
    jeevan-sindhu ka roop-rang,
    har roz badalta jaae…
    naavik chalta jae..

    kabhi koi ,
    sapna tute..
    kabhi koi,
    apna choote..
    pratichan rang-badalte jeevan ke,
    saanche mein,
    dhalta jaae…
    Naavik chalta jaae…

    kabhi kisi ka,
    saath mile..
    kabhi,kathin akeli,
    raat mile..
    kabhi sathi koi,
    saath mein ho,
    kabhi apna koi,
    paas mein ho..
    kabhi akele hi,
    durgam toofano se,
    larta jaae..
    Naavik chalta jaae..

    kabhi mil jae,
    tufan visham..
    nahi ho bachne ka,
    koi saadhan..
    nahi samasya ka,
    koi hal ho..
    kaya bhi atyant,
    durbal ho…
    jeevan mrityu ka,
    daas bane..
    nauka lahron ka,
    graas bane…
    jeevan ka suraj ,
    nabh mein ,dheere-dheere,
    dhalta jaae….
    Kintu…
    Naavik…..chalta jaae..
     
  2. Ali Yawar

    Ali Yawar New Member

    is anyone there....?????
     
  3. monica_decosta

    monica_decosta Active Member

    i am :p


    good lines there... its like abstract painting !!
     

Share This Page