~::Mein Deewana Kyun Banu::~

Discussion in 'Poetry and Lyrics Forum' started by amit82cse, May 31, 2006.

  1. amit82cse

    amit82cse Silent observeR

    Composed a new song on F and Em. Please comment...

    Jaana meri jaane ja, mein deewana kyun banu
    Diya aur baati ka, ye afsaana kyun bunu

    Majnu ki ek kahani, suni mein ne raah mein
    Na mil paayi laila, sataya yuin jahaan ne
    Ab kyun un fasane ko, tere sang dohraa huin
    Badle mein mohabbat ke, aansoo kyun mein de ja uin

    Jaana meri jaane ja, mein deewana kyun banu
    Diya aur baati ka, ye afsaana kyun bunu

    Sah sakta julm saare, mein is jahaan ke
    Nahi dekh sakta ek bhi, aansoo teri aankh mein
    Khush rahe tu har jagah, rab se meri ye duya
    Saare gum de mujhe, de tujhe saari khushiyaan

    Jaana meri jaane ja, mein deewana kyun banu
    Diya aur baati ka, ye afsaana kyun bunu


    If you are reading this line, then you must have read the song..so please please comment before going anywhere else:p:
     
    Babydoll, apurbajd and madhuresh like this.
  2. madhuresh

    madhuresh madhuresh

    sweet lines ....wating for mp3....
    Jaana meri jaane ja, mein deewana kyun banu
    mere paas hai jeans ki paant, main pajama kyoon banu...

    nahi jus joking...accha hai sach much accha hai..reps added
     
  3. apurbajd

    apurbajd ~#$&*$@*^$

    Its nice .... y don u post a recording ?
     
  4. amit82cse

    amit82cse Silent observeR

    yaar itne comments hi nahi aaye ki mp3 banane ka enthu aata...lol
     
  5. madhuresh

    madhuresh madhuresh

    poem main bahuut se vichar nahi hain ...odinary si hai ,,,some more thoughts r required...ek effort aut maar yaar mukhda same antra aur vazan daar
     
  6. BubblyMartini

    BubblyMartini !!!HAWM

    would sound when its set to some music
    good work
    post the recording :eek:)
     

Share This Page