Deti hai dil pe dastak woh yaadien purrai Jo hain aaj bhi taaza,behad suhaani. Woh betakallufi ka alam, aur masti, Mayne nahi mehngaayi ke, na koi cheez sasti. Lagta tha jaise saare jahaan pe apna raaz hai, Duniya hamari hai, hum hi sartaaj hain. Yaari nibhana,aur naye dost banana, Woh chup-chup ke gupshup,kabhi kisi ko satana Woh din bhi ajab they, kaise gazab they, Chahe jo bhi ho yaara, saath mein sab they. Yaad aata hai aaj bhi woh guzra zamaana, Jab har din thi masti, har pal suhaana. Bhool nahi paungi woh yaaron ka saath Jab chale they hun le haathon mein haath.