Man Manthan....

Discussion in 'Poetry and Lyrics Forum' started by anum324, Mar 11, 2006.

  1. anum324

    anum324 New Member

    Aaj,na jaane kyun.....
    Bhavnayein itni uddwaelit ho utthi,aur
    prabal ho utthi,
    Mere Vichaaron ki dhaara,
    Tadapne lagi lekhni
    Shwet pannon par machalne ke liya,
    Kyunki.....
    Ukerne the ehsaas
    Udhelni thi man ki bhadaas
    Jo pal pal,
    Dheere dheere,
    Bade dinon se mere andar.....
    Khaul rahe the,
    Taul rahe the,
    Mere hi Antas ko,
    Mere hi antas mein,
    Parantu...(aisa ho na saka)
    Shayad...isliye....ki....
    Bhavnaon ka veg
    Vichron ka manthan,
    Itna ghanghor tha..
    Itna purzor tha,
    ki.....
    Shabdon ka vishaal koshagaar,
    Vyakaran ka anupam bhandaar
    Jaise-
    Tucch ho gaya,
    Ninm ho gaya,
    Unka kaushal cheen ho gaya,
    Meri bhavnaon ko vyakt karne ke liye.....
     
    Varshita likes this.
  2. nimisha

    nimisha .:Forum Leader:.

    thats impressive hindi...
    felt like atlbihari vajpayee ji ne likkha hai....

    summary is....
    aaj kaise bayaa karu iss dil ki haalat...
    ke lavz adhure se lagte hai...
    nahi hai meri kalam me abb itni taakat..
    ke jo bhi likhu... sab kuch adhure se lagte hai..
     
  3. madhuresh

    madhuresh madhuresh

    this thought is banal ....repetative most repatative but if u can find some hting new its the best........

    vyathit maan ki vedana, kabhi anant kabhi bindu hai
    sindu bandh main bandehe, to sindhu nahi sindhu hai......

    "aaj kaise bayaa karu iss dil ki haalat...
    ke lavz adhure se lagte hai..."....
    adhure nahi re ..it sud be smthing like small ..minute ...insignificant....
     
  4. anum324

    anum324 New Member

    Banal? can u explain....i really did not understand madhuresh....coz i just wrote with a momentary thought.

    Sachchi aapki baat samajh nahi aayi...jara phir se batayengey.....plz..

    Thanks to nims as well......
     
  5. madhuresh

    madhuresh madhuresh

    " i dont have words to say how i feel " as a whole this concept has been said ..expressed in soo many forms that i personally feel no use writing on it

    APP Ki shabd rachana acchi hai.....
    vyakaran aur chaand sanyojan bhi uttam hai ....
    baki main thoda sa murakh bhi hoon, jo apni sooch bhi bata deta hoon so maine aisa kaha ...
    <u know like main kehta to aise keta, vaise soochta, ye karta vo nahi boolta >
    cant help :(
     
  6. Varshita

    Varshita New Member

    Read pure hindi poem after a long long time. I stopped studying hindi way back in class VII.... but still i could manage .. Really liked it :)
    Reps for you for sure. Something different than what i get to read .
     
  7. sachoo

    sachoo drenched in my pain again


    Did u read "veg" as "vague" here? wat is Antas?

    I read the title as "Man Manhattan" :shock: >> new flick opposite to "maid in manhattan".

    Also sachchi >> sachi... mera naam chi ho raha tha ;)

    nice work :beer:
    sachi ;)
     
  8. madhuresh

    madhuresh madhuresh

    Antas means inner self ...atma ke pass jo soochane ki power hai vo chetana kehlati hai aur vo antas main rehti hai....
     
  9. sachoo

    sachoo drenched in my pain again

    Thnx yaar.. muzhe toh kuch aur he laga tha..

    Mere hi Antas ko,
    Mere hi antas mein,


    :p: :p: :RollLol:
     
  10. anum324

    anum324 New Member

    Oh My God.....kitna discussion ho gaya ek choti si poem ke upar....waise sach me thanks to all for such a feedback and please do keep on giving that....I wrote this poem within 5 mins......while working.

    Thanks to all once again......
     

Share This Page