Lyrics of a Saara Kafan Jaala Diya

Discussion in 'Hindi Lyrics - Submit or Request' started by niirvana, Jul 18, 2005.

  1. niirvana

    niirvana New Member

    Can Some one get me the lyrics of a Poetry (Qawali)
    Some words from the poerty are as folow:-

    Bijli Chamak ke gir padi , saara kafan jaala diya,
    Yahan bhi satana chale aaya ,
    jaane kisne pata bata diya.
     
  2. BubblyMartini

    BubblyMartini !!!HAWM

    .
    .
    Tumne jo meri kabr par, aakar yun muskura diya
    bijli chamak kar gir padi, sara kafan jala diya.
    main so raha tha chain se, yun hi kafan-e-mazaar mein,
    yahan bhi sataane aa gaye, kisne pata bata diya.

    tumne chadhaye phool to, ehsaan kya kiya
    humne tumhare ishq mein, sara chaman luta diya.
    pucha na jeete ji kabhi, dard e dil ka haal
    aaye ho kabr par meri, mitti mein jab mila diya.

    aaye ho mazaar par mere, dekh liya ab mera haal
    thukra ke mere pyar ko, kisi aur ko apna bana diya.
    ab ho gaya hai ilm tumhein, ek shikayat meri jaan lo
    kiya jo hashar tumne mera, apno ko begana bana diya.

    main to kafan mein hoon ab, meri baat aur hai,
    karna na unka haal wo ab, jo haal mera tumne bana diya.
    tumne jo meri kabr par, aakar yun muskura diya
    bijli chamak kar gir padi, sara kafan jala diya.

    aaj kuch aisa gujar gaya, dil toot kar bikhar gaya
    dard kuch itna badha, hadd se hi gujar gaya
    .
    .
     
  3. justmujahid

    justmujahid New Member

    Gooood Keep It Up
     

Share This Page