Kyaa kahain

Discussion in 'Poetry and Lyrics Forum' started by madhuresh, Dec 24, 2009.

  1. madhuresh

    madhuresh madhuresh

    Har subhe se shaam tak, busy hian itne..kyaa kahain
    Jaldi Jaldi main hai sab, crazy hain itne..kyaa kahain

    Khaab aate hian par sab ke sab kamina-pann liye
    apni sacchayi lo le ke choosy hain itne..kyaa kahain

    choti choti khidkiyan thodi dhoop thodi saans ko
    iss safar ke rasste, hazy hian itne.. kyaa kahain

    Sara bharosa pees ke ek card banaya raakh liya
    jeb main chup kar ke bithe, lazy hian itne ...kyaa kahain

    Har subhe se shaam tak, busy hian itne..kyaa kahain
    Jaldi Jaldi main hai sab, crazy hain itne..kyaa kahain
     

Share This Page