Yeh hawa ka rukh, yeh thehra sama Bheed mein gumsum, main kahi tanha Aaj yeh din kuch alag sa hai Meelon ke faasle, dilon ki yeh dhadkan Pyar mein tere mera yeh ladakpan Aaj yeh rishta kuch alag sa hai Patjhad ke thapedo ko sehn na jab kar paye Karte hai aaj woh intezaar saawan ka nazre bichaye Aaj yeh mausam kuch alag sa hai Kayamat ki chah mein har pal ansoo bahana Tera woh chal padna aur mera thehar jaana Aaj yeh manzar kuch alag sa hai
poems stating frame of mind usually turn out to be obscure but then keeping aside the denotation..u've expressed very well..and the poem was sumthin good to read reps!