G
Garima
Guest
Aaj kuchh khaas hai in boondo mein
Kuchh baat hai in maujoan mein
Shayad yeh andaz hai inka….ek ishara hai
Ki koi aane wala hai
Jo yeh dil churane wala hai
Aaj yeh hawa bhi badli badli si hai
Shararatein iski bhi kuchh kam nahi hain
In zulfoan ko uda kar shayad yeh kehna chahti hai
Koi aane wala hai
Inhe suljhane wala hai
Aaj is aasman par bhi kajal bikhra hai
Jis se in vaadiyoan ka roop or nikhra hai
Shayad ye batana chahte hain mujhe
Koi aane wala hai
Mera haath thaam zindgi bhar saath nibhane wala hai
:grin: