Dil ka sukun raato ka na chain jaye khuda kare Jaise ke main hu tadpi na tu tadpe khuda kare Jis aalam main ujda hai basera mera Us tarha tera aashiya na ujde khuda kare Khwab jaise hue hai mere reza reza Aise tera sapna na bikhre khuda kare Luta hai khazina mera baharo ka jis tarha Aise tera asaasa na khoye khuda kare Jis tarha se uda hai tabbassum mere rukh se Tujh se wo ibtisaam na ruthe khuda kare Iztirari ke door se guzri hu main jaise Us bayaba main tu safar na kare khuda kare Bemani huwi hai zindagi jis tarha meri Bas tera yu maksaad na chine khuda kare Ittlaf hue hai kayi damane ziist main mere Aafat ki ek aanch bhi tujh pe na aaye khuda kare Abr barse tere ihsar main es tarha Phool hi phool teri raah main saj jaye khuda kare Yahi tawaqqo se rok ti hu main kalam apni Meri es adna dua se teri kismat ke baab khul jaye khuda kare Khazina --- > Treasure Asaasa --- > Property Ibtisaam --- > Smile Iztirar --- > Helplessness Biyaba --- > Desert Ittlaf --- > Destruction Damane Ziist --- > Fabric Of Life Abr --- > Clouds Tawaqqo --- > Hope Baab --- > Door Ihsar --- > Surrounding
very nice ....itna accha to likhna mushki hai but .... aisi chahat ko, rusvayii ada karee... khuda kuda na rahega, gar aisa khuda kare.. saala khuda bhi soochta hoo ga ye dono kyaa kar rahe hain
i like it Tanzania kahan hain yaar... Africa righ.. kash yeh ruswaai ho, tanhai na ho.. khuda kare.. beh jao kabhi in aasoon kay dariya mein agar.. yeh jism tumhaari kashti ho.. khuda kare.. hum bhi kahin shaayar na ban jaaye ..khuda kare...hehehehe Reps doll baby... :rock: sachoo
Thnx Sachoo ji Ha Tanzania East Africa main hai Hum to chahte hai aap shayar ban jaye khuda kare Shayaro ki list main aap ka naam aaye khuda kare
Main bhi to yahi keh rahi hu ke khuda to yaha aake mujhe ache bure comments dega nahi to ye kaam ab aap log hi karloo
aap hamaare forum pe yuhi likhte rahe khuda kare... sitaare re to pehlese hai.. app chaar chaand aur lagaaye khuda kare... impressive vocabulary dollie.... n great job..