Kabhi Kabhi mere dil main- Kabhi Kabhi

Discussion in 'Hindi Lyrics - Submit or Request' started by MARS, Aug 5, 2004.

  1. MARS

    MARS Mars Ji...Finally!!!!!

    Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
    Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai

    Ki jaise tujhko banaya gaya hai mere liye
    Ki jaise tujhko banaya gaya hai mere liye

    Tu abse pehle sitaaron mein bas rahi thi kahin
    Tu abse pehle sitaaron mein bas rahi thi kahin

    Tujhe zameen pe bulaya gaya hai mere liye
    Tujhe zameen pe bulaya gaya hai mere liye

    Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai

    Ki ye badan ye nigaahein meri amaanat hain
    Ki ye badan ye nigaahein meri amaanat hain

    Ye gesuon ki ghani chhaon hain meri khatir
    Ye honth aur ye baahein meri amaanat hain
    Ye honth aur ye baahein meri amaanat hain

    Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai

    Ki jaise bajti hain shehnaaiyaan si raahon mein
    Ki jaise bajti hain shehnaaiyaan si raahon mein

    Suhaag raat hain ghoonghat utha raha hoon main
    Suhaag raat hain ghoonghat utha raha hoon main

    Simat rahi hai tu sharma ke apni baahon mein
    Simat rahi hai tu sharma ke apni baahon mein

    Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai

    Ki jaise tu mujhe chaahegi umr bhar yoohin
    Uthegi meri taraf pyaar ki nazar yoohin

    Main jaanta hoon ki tu geir hai magar yoohin
    Main jaanta hoon ki tu geir hai magar yoohin

    Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
    Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai

    Enjoy....
     
  2. lord_neo

    lord_neo Guest

    Very nice song.
     
  3. ajax

    ajax New Member

    This is the orignal poetry written by sahir ludhiyanvi

    kabhii kabhii mere dil me.n Kayaal aataa hai
    ki zi.ndagii terii zulfo.n kii narm chhaao.n me.n
    guzarane paatii to shaadaab ho bhii sakatii thii
    yah tiraagii jo mere zIst kaa mukaddar hai
    terii nazar kii shuaa.No.n me.n kho bhii sakatii thii
    \bigskip%
    ajab na thaa ki mai.n begaanaa-e-aalam ho kara
    tere jamaal kii raanaaiyo.n me.n kho rahataa
    teraa gud.hdaaz badana, terii niimabaaz aa.Nkhe.n
    inhii.n hasiin fazaao.n me.n mai.n ho rahataa
    \bigskip%
    pukaaratii.n mujhe jab talaKiyaa.N zamaane kii
    tere labo.n se halaavat ke ghuu.NT pii letaa
    hayaat chiikhatii phiratii barehanaa-sara aur mai.n
    ghanerii zulfo.n kii chhaao.n me.n chhup ke jii letaa
    \bigskip%
    magar ye ho na sakaa
    magar ye ho na sakaa aur ab ye aalam hai
    ki tuu nahii.n, teraa Gama, terii justuzuu bhii nahii.n
    guzar rahii hai kuchh is tarah zi.ndagii jaise
    ise kisii ke sahaare kii aarazuu bhii nahii.n
    \bigskip%
    zamaane bhar ke dukho.n ko lagaa chukaa huu.N gale
    guzar rahaa huu.N kuchh anajaanii rahaguzaaro.n se
    muhiib saaye merii simaT bharate aate hai.n
    hayaat-o-maut ke par-haal khaar-zaaro.n se
    \bigskip%
    na koii jadaa, na ma.nzila, na roshanii kaa suraag
    bhaTak rahii hai Kayaalo.n me.n zi.ndagii merii
    inhii.n Kayaalo.n me.n rah jaauu.Ngaa kabhii kho kara
    mai.n jaanataa huu.N mere ham-nafasa, magar yuu.N hii.n
    kabhii kabhii mere dil me.n Kayaal aataa hai
     
  4. schunyll

    schunyll New Member

    Too good !! Thanx Ajax
     
  5. divine_rain

    divine_rain New Member

    can anyone give a translation for that ??
     
  6. schunyll

    schunyll New Member

    translation to what? Original poetry or the movie song (posted my MARS)?
     

Share This Page