Suraj utna waqt na lagaata hoga shabnam ko sukhaane main Jitna apnaaya mehbuba ne mujhe apne dil se bhulaane main Khudaaya...! Wo kabhi maahir itni na thi mujhe sataane main Kahin Tera haanth to nahin usse yaha hunar seekhaane main Raat din lage rehte ho Aasmaan ke sitaaron ko sajaane main Lazzat kaise li Tum ne mere pyar ke diiye ko bujhaane main Jaane kitne yug kaam aaye Tere iss jagat ko rachaane main Kaash !Utni hi muddat lagaate mere jahaan ko mitaane main Shikve aur hein Tum se, mann halkaa hota sab bataane main Lekin aasaani se milte hi kahaan ho aaj kal ke zamaane main Jyadaa samay biita mera apne ziddi sanam ko manaane main Acha hota gar mere kuch pal biit jaate Tere gunn gaane main Ibaadat karne ki mohlat haanth se khisakti gayi anjaane main Saari umbra guzaari hai bas shaayri sun.ne aur sunaane main Jannat jo kar sake to kare intezaar mera Tere ashiyaane main Zaruurat hai Amanush ko aur janmon ki wahaan par aane main Maahir : Expert Lazzat : Pleasure Amanush...