Intazaar

Discussion in 'Poetry and Lyrics Forum' started by manish, Jun 21, 2006.

  1. manish

    manish New Member

    tanhayee mein mujhe aise yaad aaye tum
    yun laga zindagi se milke aa gaye hum

    tumhara saath jo mila mujhe virane mein
    bhari mahfil mein ab tanha se ho gaye hum

    dur ho tum dur hai manzilen meri
    saath jo hota tera paa lete manzil bhi hum

    mujhe tumse koi shikaayat to nahi
    par shikaayat na kare to fir kya karein hum

    badle zamana chahe badle khuda hi
    jo tum badal gaye to fir kahan jayenge hum

    bewajah ruthna fir maan jana
    bina tere tumse hi baatein karna
    ise deewanapan nahi to fir kya kahenge hum

    aa jaao ki main akela na rahoon
    aa jaao ki saanse meri chalti rahe
    na mil paye tumse to mar jayenge hum
     
  2. madhuresh

    madhuresh madhuresh

    ye corrections hain
    tanhayee mein mujhe aise yaad aaye tum
    yun laga zindagi se milke "aa gaye hum" make it "mil ke aaye hum"

    tumhara saath jo mila mujhe virane mein
    "bhari mahfil mein ab tanha se ho gaye hum"..
    "khade mehfil main, andar phir bhi tan haiye sajaye hum"

    "mujhe tumse koi shikaayat to nahi
    par shikaayat na kare to fir kya karein hum"
    "tumse koii shikayat nahi haale dil hi aisa hai
    bayyan kartain hian to lagta hai sikva karne aaye hum"

    abee sabhi lines main kuch kuch gadbad hai re-write or edit make good phrases ....
    matla muktak radif kafiyaa tukbandi kisi ka to khyaal rahoo meri jaan
    BUT khayal mast hian full points for that...
     

Share This Page