Arson baad kami hamaari houi mehsus unko Phir laut aaye hum kar na sake maayus unko Jazbaa ko dabaaye rakhe kuch bataa na sake Socha kahin acha na lage apna khuluus unko Aah nikli jo jigar se un tak pahunch na paayi Tanhai jaa ke sunaaegi dil ki khus phus unko Aur kuch na tha to ruuh unpe sadqe kiye hai Zara sa waqt de na sake so lage kanjus unko Auron jaise woh bhi nikli taajjub bahut houa Dil o jaan se jaana tha humne makhsus unko Meri wujuud se utni hi hai nafrat jitni chahat Kal Amanush to aaj lage bhale maanus unko Mushkil nahin houa hoga mera pyar bhulaana Par sadaa rahegaa yaad apne takhallus unko Amanush...