' Ek Sau Ek Kadam...! '

Discussion in 'Poetry and Lyrics Forum' started by Amanush..., Feb 14, 2010.

  1. Amanush...

    Amanush... Tanha Rahi...!

    Jab kabhi,
    tere laut aane ka faislaa hoga
    aur hamare darmiyaan
    ek sau ek kadmon ka faaslaa hoga

    to…

    Tum sirf pehla kadam le lena,
    Aur mere liye
    baaqi woh sau chhoD dena
    tum tak aane ke liye…!


    :)
     

Share This Page