Dard-e-dil

Discussion in 'Poetry and Lyrics Forum' started by anum324, Apr 29, 2007.

  1. anum324

    anum324 New Member

    Armaan-e-ishq humne dil mein chupaaye hain
    Na jaane kab se tujhe dil mein basaaye hain

    Pehli nazar mein hi apne lage they mujhko
    Mohabbat ne haule se tere aks banaaye hain

    Tum mere saath they dil ke aas paas they
    Haal-e-dil bataane se phir hum katraaye hain

    Ek zamana hua dekha tera massom chehra
    Tanhaiyon ne ab dil ke veeraane sajaaye hain

    Kash tum samjahte dard-e-dil ki chubhan
    Muskarahton ne mere ansoo chupaaye hain

    Kya hua jo to tum mere saath nahi ho ab
    Humne phir bhi tere hi naghme gaaye hain
     
  2. anum324

    anum324 New Member

    Heeelllllooooooooooooooooooo!!!

    Is dard bhare dil pe koi to namak chidak do.....:confused:
     
  3. aunnyboy

    aunnyboy New Member

    very nice! There's still room for some improvement but its still real good:)
     
  4. jazzbox

    jazzbox His X Ln C 1000CC

    nice ....not bad...

    hmmmm

    Am . G ..i think its suit on ur ghazal

    keep do good han ;)
     
  5. anum324

    anum324 New Member

    Stop Copying!!!

     

Share This Page