corruption ki chai pani

Discussion in 'Poetry and Lyrics Forum' started by cruithne_86, Dec 11, 2008.

  1. cruithne_86

    cruithne_86 New Member

    Lagi hai joro se.. chot dil per.. Na nind aati hai na chain aata hai..
    Nah yeh pyar nahi mere dosto.. is baar cha pani ki nafrat ne nind udai hai..

    Pak gaya hu me in c h * *iyo se.. baat bat pe cha pani cha pani karte hai..
    Eek dhundho hazar mil jaye.. suna hai anti corruption me bhe ab ye ja bethe hai..

    Bhacna muskil hai inki jalo se.. poore India ko ghera hai in gundo ne..
    Train ticket, exam, job yaha tak jinda ho dikhane ko bhi chai pani lagti hai

    Jaha dal dal pe sone ki chidiya karti thi basera…
    Chidiya beche kar ab waha pe chai pani magne walo ka he dera

    Kartoot in ki chap jaye to who hero ban jate hai…
    Kyo lalu ne chara khaya uske bad hi to usne train chalai hai

    Kya kare hum bichare.. chai pani karvate hai..
    Chakkar mar mar ke office ke warna chappl bhi ghis jate hai

    Jagi janta jagi janta.. ghanta janta ukhade gi
    Apna kaam karvane who chai pani ke piche hi bhagegi

    Kya lad shakte ho jo hai apna pane ko..
    Kya tadap shakte ho harishchandra jaise tadpe the
    Nahi to fir chalo chai pani se hi kaam karvate hai.


    well u guessed it rite.. i m pissed.. ;) couldnt sleep.. so thought let it. out.. hope u like it.. and sorry for c word.. bt it was rhyming good
     

Share This Page