puchati ho tum meri deiwaangi ki vajeh kunn kyaa kaise ka koi jawaab nahi hai kaash ki dil aane ki koi paimaaish hoti bevajeh hai tabhi to mahobbat hai vajeh hoti to saazish hoti kabhi bhi aa-jata hai kahyaal tumhara kab kahan kaun ki koi baat nahi bus phir se ek baar dekhne ki chahat hai kuch chahiye hota to farmaaish hoti ye digar baat hai ki mann abb kahin lagta nahi jawaab kam hain aur sawaalon ka koi hisaab nahi na koi, call na message na chitthi koi ye gazal chaspa di wahan jahan na numaaish hoti