Dil me aaj ek khayaal aaya hai, Maine zindagi me kya kya payaa hai, Yu dekho to zindagi kuchh bhi nahi, Aur Yu dekhu to sara jahaan kamaaya hai.. Kabhi sapne me aisa lagta hai ki, Maine apna sab kuchh gavayaa hai, Par fir muskura uthata hu jab sochta hu ki, Mujh par mere pyaare dost ka sayaa hai.. Maine kabhi kuchh achcha nahi kiya, Bas, dost tere pyaar ne karvayaa hai, Ab is pyaar se dur bhi nahi jaa sakta, Tune dil me aisa karwaan jagayaa hai, Tere liye main kya kar paunga yaar, Ye meri kabhi na samaj me ayaa hai, Par ek izhaar aaj kar raha hu main tujhse, Ki Tujhe maine apne Dil me Samayaa hai. -Tejas