This song is from the latest Umrao Jaan. Music by Anu Malik, strong awadhi lyrics combined with Richa sharma’s powerful voice leave an impact and a feeling that lingers on long after its over. Jo ab kiye ho daata, aisa na kijo agle janam mohe bitiya na kijo Humre sajanwa humra dil aisa todin O ghar basa-in humka rasta ma chodin jaise ki lalla koi khilona jo pahwe dui char din to khele phir bhool jaave ro bhi na pahve aisi gudiya na kijo agle janam mohe bitiya na kijo agle janam mohe bitiya na kijo jo ab kiye ho daata aisa na kijo agle janam mohe bitiya na kijo Aisi bidai bolo dekhi kahi hai maiya na babul bhaiya kaunu nahi hai ho, ansu ke gehne hai aur dukh ki hai doli band kevadiya more ghar ki boli is aur sapno mein bhi aaya na kijo us aur bhi sapno mein bhi aaya na kijo agle janam mohe bitiya na kijo jo ab kiye ho daata aisa na kijo agle janam mohe bitiya na kijo agle janam mohe bitiya na kijo…