~Aapka Zikr~

Discussion in 'Poetry and Lyrics Forum' started by BubblyMartini, Jun 3, 2006.

  1. BubblyMartini

    BubblyMartini !!!HAWM

    Aapka Zikr

    ishq ki saadgi humko behela gayi
    ik sabaa ki tarah dil ko mehka gayi
    hosh ho na ho, hum to madhosh hai
    zikr se aapke hum kyo khaamosh hai
    rehguzar kar gaye bin aapke
    saanse tanha bin aapke
    zarra zarra jab puche aapki khaeriyat
    aatish jagati lau ki tarah dil khud ko jala jaye
    chaand ki sard narmi jab chain na dilaye
    zameen ki garmi jab hume chil jaye
    dil nawaazi aapka zikr hume behlaaye
    aahon ko halka sa sukoon dilaye
    beete lamhon se gairo ko kya taahluk
    besharam si unki nazare ab unhe hai chubti
    tohmat jo lagate the humpe kabhi ye dil lagane ki
    usi mehfil main hota hai..
    aapka zikr

    ---`-,--;--<@
    _____________________

    Do gimme your honest comments whenver u read my poem
    thanks for reading..
     
  2. apurbajd

    apurbajd ~#$&amp;*$@*^$

    ^^did u write that in a hurry? kinda incomplete .... or did I miss something (maybe, cuz I didnt get some of the words here too, think I would better stop reading hindi/urdu stuffs here :eek::) ...
     
  3. BubblyMartini

    BubblyMartini !!!HAWM

    ohh :eek::

    i donno..
    i wrote two poems one after the other
    so maybe coz of that ..

    will try and write the english translation..:eek::
     
  4. good one Bubbly ...but why u posted like that i think you should have posted in a manner... para by para sorry if im wrong...:eek::
     
  5. madhuresh

    madhuresh madhuresh

    vaisa to atpata usage hai words ka par khyaal ki saadagi khud main khoobsuraat hoti hai app ne prove kar diya.....
    yaar tera jikr jab bhi hota hai, chup to rehtain hain bas itna hai....
    galoon main guleriyaan pad jati hain
    mood pe ja kar khayaaloon ke-Dil, bhool jata hai kaha rehna hai..
     
  6. BubblyMartini

    BubblyMartini !!!HAWM


    Aapka Zikr

    ishq ki saadgi humko behela gayi
    ik sabaa ki tarah dil ko mehka gayi

    hosh ho na ho, hum to madhosh hai
    zikr se aapke hum kyo khaamosh hai

    rehguzar kar gaye bin aapke
    saanse tanha bin aapke

    zarra zarra jab puche aapki khaeriyat
    aatish jagati lau ki tarah dil khud ko jala jaye

    chaand ki sard narmi jab chain na dilaye
    zameen ki garmi jab hume chil jaye

    dil nawaazi aapka zikr hume behlaaye
    aahon ko halka sa sukoon dilaye

    beete lamhon se gairo ko kya taahluk
    besharam si unki nazare ab unhe hai chubti

    tohmat jo lagate the humpe kabhi ye dil lagane ki
    usi mehfil main hota hai..
    aapka zikr

    ---`-,--;--<@
    ____________

    Done! :)
    how does it look now?

    Will keep this in mind when i post my other poems
    Reason why i'd put the lines all together was that somehow i felt they'r incomplete without the other
    poetically it may seem incorrect though
    but anyway, i appreciate your comments
    thanks again..:)
     
  7. BubblyMartini

    BubblyMartini !!!HAWM

    Shukriya :)
    guch baatein hoti hi aisi jo lavzon main baya nahi hoti
    aur jo hoti hai unme samajhdari wali baatein kam hoti hau
     

Share This Page