Aafreen aafreen

Discussion in 'Hindi Lyrics - Submit or Request' started by kajari, Oct 31, 2005.

  1. kajari

    kajari New Member

    Husn e jana ki tareef mumkin nahi….. Aafreen aafreen, aafreen aafreen
    Tu bhi daikhay agar to kahay humnasheen… aafreen aafreen, aafreen aafreen
    Aisa daikha nahi khoobsurat koi
    jism jaisay ajanta ki moorat koi
    jism jaisay nigaahon pay jaado koi
    jism naghma koi, jism khushboo koi
    jism jaisay machalti hoi raagni
    jism jaisay mehekti hoi chandni
    jism jaisay ke khilta hoi aik chaman
    jism jaisay ke sooraj ki pehli kiran
    jism tarsha hoa dil-kash o dil-nasheen
    sandali sandali, marmari marmari
    aafreen aafreen, aafreen aafreen
    Husn e jana ki tareef mumkin nahi….. Aafreen aafreen, aafreen aafreen
    Chehra ek phool ki tarah shadab hai
    chehra uska hai ya koi mehtaab hai
    chehra jaise ghazal, chehra jaan e ghazal
    chehra jaise kali, chehra jaise kanwal
    chehra jaise tasawwar bhi tasveer bhi
    chehra ek khwaab bhi, chehra taabeer bhi,
    chehra koi alif lail ki dastaan
    chehra ek pal yaqeen, chehra ek pal gumaan
    chehra jaisa ki chehra kaheen bhi naheen
    maahroo maahroo, mehjabeen mehjabeen
    aafreen aafreen, aafreen aafreen
    Husn e jana ki tareef mumkin nahi…… aafreen aafreen, aafreen aafreen
    Aankhein daikhe to mein daikhta reh gaya
    (jaam do aur donon he do aatisha)
    aankhein ya maikade ke yeh do baab hein
    aankhein inko kahoon ya kahoon khuwaab hein
    aankhein neechi huwi to haya bun gayi
    aankhein unchi howi to dua bun gayi
    aankhein uth ker jhuki to ada bun gayi
    aankhein jhuk ker uthi to qaza bun gayi
    aankhein jin mein qaid aasman o zameen
    nargisi nargisi, surmayi surmayi
    aafreen aafreen, aafreen aafreen
    Husn e jana ki tareef mumkin nahi……. Aafreen aafreen, aafreen aafreen
    Zulf e janaan ki bhi lambi hai daastan
    zulf ki mere dil per hein parchiyaan
    zulf jaisay ke umdi howi ho ghata
    zulf jaisay ke ho koi kaali bala
    zulf uljhay to dunya pareshaan ho
    zulf suljhay to yeh zeest aasan ho
    zulf bikhray siyah raat chaanay lagay
    zulf lehraye to raat janay lagay
    zulf zanjeer hai phir bhi kitni haseen
    reshmi reshmi, amberi amberi
    aafreen aafreen, aafreen aafreen
    Husn e jana ki tareef mumkin nahi……. Aafreen aafreen, aafreen aafreen
     

Share This Page