A inspiring poem, just a different thought.

Discussion in 'Poetry and Lyrics Forum' started by smartsashank, Sep 18, 2006.

  1. smartsashank

    smartsashank New Member

    safar
    ------


    sitaron se aage jahaan aur bhi hai,
    jis manzil ko paya hai abhi kuch nahi,
    rasta abhi aur bhi hai..

    hazaaron chaltein hai yahaan par,
    hazaaron rukte hain yahaan par,
    sirf manzil par chalna hi nahi,
    is manzil ko apna banana, abhi aur bhi hai..

    chal pade hain jis raah par,to dosti mushkilon se karni hi hogi,
    har baar jeet nahi hoti, kabhi haar se bhi mulakaat karni hi hogi,
    haar chakhne par hi jeet ka mazaa aata hai,
    lekin haar ko mazaa chakhaa de, woh junoon ab hamari aankhon mein nazar aata hai,
    woh kehten hain sitaaron ko paana hai humne,lekin sitaaron se poocho jalna abhi bhi unka baaki hai,

    sitaron se aage jahaan aur bhi hai,
    jis manzil ko paya hai abhi kuch nahi,
    rasta abhi aur bhi hai............





    i would love ur replys.. so reply plz.
    have a nice time!
     
  2. smartsashank

    smartsashank New Member

    yaar koi reply to kar do plzz..
    yeh meri life ki 2nd poem hai.. jo maine khud banai hai!
    coz first one was dedicated to someone!

    so plz as a new beginner in wrighting poem i need ur suggestions!!!!
     
  3. madhuresh

    madhuresh madhuresh

    life ki dusari poem and such a good thought reps 4 u...great man main to suru shuru main maha bakwaas Pj's hi likh pata tah...and cooments ..dekh ye sab tune jitna sidha saadha likha hai that is making it boring .....like story telling poem is art so must be rich with new expressions and orignal thoughts ...so thoughts u had expressions main innovation laoo...all in all good attempt
     

Share This Page