4........All r great....

Discussion in 'Hindi Lyrics - Submit or Request' started by kajari, Nov 9, 2005.

  1. kajari

    kajari New Member

    Yaara seeli seeli, birha ki raat ka jalna
    Yaara seeli seeli, yaara seeli seeli
    O yaara seeli seeli, dhola seeli seeli
    Yaara seeli seeli, birha ki raat ka jalna
    Yeh bhi koi jeena hai, yeh bhi koi jeena hai…. Yeh bhi koi marna

    Yaara seeli seeli, birha ki raat ka jalna

    (tooti hui choodiyon se jodoon yeh kalaai main.....pichhli gali mein jaane kya chhod aayi main)
    Beeti hui galiyon se, beeti hui galiyon se
    Phir se guzarna

    Yaara seeli seeli, dhola seeli seeli

    (pairon mein na saaya koi, sar pe na saanyi re…. Mere saath jaaye na meri parchhaayi re) - 2
    Baahar ujaala hai, baahar ujaala hai…… andar viraana
    Yaara seeli seeli, o dhola seeli seeli
    O yaara seeli seeli, birha ki raat ka jalna

    ---

    Humko man ki shakti denaa, man vijay kare
    Doosaro ki jay se pahele , khood ko jay kare -2-
    Humko man ki shakti denaa

    Bhedbhaav apane dil se, saaf kar sake
    Dosato se bhool ho to, maaf kar sake
    Jooth se bache rahe sachkaa dam bhare
    Doosaro ki jay se pahele, khood ko jay kare

    Mushkile pade to hum pe itana karma kar
    Saath de to dharm kaa chalenge dharm par
    Khood pe honsala rahe badeese naa dare
    Doosaro ki jay se phele khood ko jay kare

    --

    ---

    Kahin door jab din dhal jaye, sanjh ki dulhan badan churaye
    Chupke se aaye, mere khayaalon ke aangan mein, koi sapnon ke deep jalaaye

    Kabhi yun hi jab hui bojhal saansen
    Bhar aai baithe baithe jab yun hi aankhen
    Kabhi machal ke pyar se chal ke
    Chhuye koi mujhe par nazar na aaye
    Kahin door...

    Kahin to yeh dil kabhi mil nahin paate
    Kahin pe nikal aaye janmon ke naate
    Thami thi uljhan bairi apna
    man
    Apna hi hoke sahe dard paraaye
    Kahin door...

    ----

    Too jahaa jahaa chalegaa, meraa saayaa saath hogaa
    Meraa saayaa, meraa saayaa, meraa saayaa, meraa saayaa

    Kabhee muz ko yaad kar ke jo bahenge tere aansoo
    To wahee pe rok lenge unhe aa ke mere aansoo
    Too jidhar kaa rukh karegaa, meraa saayaa saath hogaa

    Too agar udaas hogaa, to udaas rahoongee main bhee
    Najar aaoo, yaa naa aaoo tere paas rahoongee main bhee
    Too kahee bhee jaa rahegaa, meraa saayaa saath hogaa

    Main agar bichhad bhee jaaoo, kabhee meraa gam naa karanaa
    Meraa pyaar yaad kar ke, kabhee aankh nam naa karanaa
    Too jo mood ke dekh legaa, meraa saayaa saath hogaa

    Mere gam rahaa hain shaamil tere dukh mein, tere gam mein
    Mere pyaar ne diyaa hain, teraa saath har janam mein
    Too koee janam bhee legaa, meraa saayaa saath hogaa

    Naino mein badaraa chhaye, bijalee see chamake haaye
    Ayese mein balam mohe, garawaa lagaa le

    Madiraa mein doobee aakhiyaan, chanchal hain dono sakhiyaan
    Chhalatee rahegee tohe, palakon kee pyaaree pakhiyaan
    Sharamaake dengee tohe, madiraa ke pyaale

    Preamadiwaanee hoo mai, sapanon kee raanee hoo mai
    Pichhale janam se teree, praem kahaanee hoo mai
    Aa is janam mein bhee too, apanaa banaa le

    -----

    Hum bewafa hargiz na the, par hum wafa kar naa sake
    Humko mili uski sazaa, hum jo khata kar naa sake

    Kitni akeli thi woh rahen hum jinpe…ab tak akele chalte rahen
    Tujhse bichhad ke bhi o bekhabar….tere hi gham mein jalte rahen
    Tune kiya jo shiwa…hum woh gila kar naa sake

    Tumne jo dekha suna sach tha magar….itna tha sach yeh kisko pataa
    Jaane tumhe maine koi dhokha diya……jaane tumhe koi dhokha hua
    Is pyaar mein sach jhooth kaa….tum faisla kar naa sake

    ----

    (jeehale muskin main kun baranjis behaal hijra bechaara dil hai) -2
    (sunai deti hai jiski dhadkan tumhaara dil ya hamaara dil hai)-2
    (vo aake pahlu main aise baithe) -2 ki shyaam aur rangeen ho gayi hai
    Ki shyaam rangeen ho gayi hai…. Ki shyaam rangeen ho gayi hai
    (zara zara si khili tabiyat zara si gumgeen ho gayi hai)-2

    (ajeeb hai dil ke dard)-2 yaaron
    (na ho to mushkil hai jeena iska) -2
    (jo hon to har dard ek heera har ek gam hai nageena
    iska)-2

    (kabhi kabhi shaam aise dhalti hai jaise ghoonghat utar raha hai, utar raha) -2
    (tumahre seene se uthta dhuaan hamaare seene se guzar raha hai) -2

    Yeh sharm hai ya haya hai, kya hai (nazar uthate hi jhuk gayi hai) -2
    (tumhari palkon se gir ke shabnam hamari aakhon main ruk gayi hai) -2

    -----

    Aap ki aankhon mein kuch maheke hue se raaz hai - 2
    Aap se bhi khoobsurat aap ke andaaz hai
    Aap ki aankhon mein kuch maheke hue se raaz hai

    Lab hile to mogare ke phool khilte hain kahin - 2
    Aap ki aankhon mein kya saahil bhi milte hai kahin
    Aap ki khaamoshiyaan bhi aap ki aawaaz hai

    Aap ki baaton mein phir koi sharaarat to nahin - 2
    Bevaja taarif karna aap ki aadat to nahin
    Aap ki badmaashiyon ke yeh naye andaaz hai

    ----

    Tuz se naaraaj naheen jindagee
    Hairaan hoo main
    Tere maasoom sawaalon se
    Pareshaan hoo main

    Jeene ke liye sochaa hee nahee
    Dard sanbhaalane honge
    Muskuraye to, muskuraane ke
    Karja utaarane honge
    Muskuraoo kabhee to lagataa hai
    Jaise hothhon pe, karja rakhaa
    hain

    Aaj agar bhar aayee hai
    Boonde baras jaayegee
    Kal kyaa pataa in ke liye
    Aankhe taras jaayegee
    Jaane kab gam huaa, kahaa khoyaa
    Yek aansoo, chhupaa ke rakhaa thaa

    ----

    (ajeeb daastaan hai yeh kahan shuru kahan khatam
    Yeh manzile hai kaunsi na voh samajh sake na hum) - 2
    (yeh roshni ke saath kyoon dhuaan utha chiraag se) - 2
    Yeh khwaab dekhti hoon main ke jag
    padi hoon khwaab se

    (mubaarakein tumhe ke tum kisi ke noor ho gaye) - 2
    Kisi ke itne paas ho ke sab se door ho gaye

    (kisi ka pyaar leke tum naya jahan basaaoge) - 2
    Yeh shaam jab bhi aayegi tum humko yaad aaoge
     
  2. roopsinha

    roopsinha New Member

    can somebody provide me the tabs and chords for the song from film gulami jeehale muskin main kun baranjis behaal hijra bechaara dil hai. i will be really thankful.
     
  3. skaw

    skaw snooze

Share This Page